کیا اللہ سب سے بڑا حاکم نہیں ہے ؟

saeenji

Minister (2k+ posts)
jazakallah-arabic-calligraphy.png
 

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
Quran ke sayaaqo sabaaq main Allah ke siwaa koi haakim hai hi nahin isi liye LAA ILAAHA ILLALLAH ka maani yahee hai ke Allah ke siwaa is duniyao jahan ka koi baadshah nahin hai.

Jo log khud ko baadshah yaa haakim kehte hen un ki wajah se quran main kuchh aise ilfaaz istemaal huwe hen jisse yeh bataana maqsood hai yeh jo tum khud ko khudaa banaaye baithe ho asal main woh tamaara bhi khudaa hai jis ka naam Allah hai. musalmaan main yeh jurrat hi nahin keh woh khud ko haakim keh sake yaa baadshah keh sake.

yeh jo quran main aata hai keh ea paighambar yeh musalmaan ho hi nahin sakte jab tak tumaare hokam ko dil se tasleem na karen. is ka yeh matlab nahin hai Allah ke siwaa nabi bhi haakim hai balkeh yeh is maani main hai keh log tumaare tanzeemi faisle ko maane jo tum Allah ke hokam ke mutaabiq karte ho awaam ke mashware se. matlab yeh keh jaise tumaari baat ko maanane ka haq hai waise maane. quran haqooq ki kitaab hai is main har shakhs ke haqooq bataa diye gaye hen bilkul isi tarah nabi ka bhi haq hai jo Allah ne apni taraf se nabi ko diya hai. woh haq yeh hai keh jis baat ka faisla khudaa ka rasool kar le ummat ke mashware se us ke baad kisi ummati ko yeh ikhtayaar nahin rehta woh usse ikhtilaaf kare aur deegar musalmaanu ki jamaat se alag chale. agar is baat ki ijaazat di jaati to ummat ummat ban hi nahin sakti thi na mil jul kar koi kaam hi ummat ki hesiyat se kar sakti thi.

quran ki in baatun se yeh matlab lena keh nabi ko apni ummat par haakmiyat ka haq hai bilkul ghalat hai. sab insaan khwaa woh nabi hun yaa ummati Allah hi ke mehkoom hen. logoon ko ikhtayaar intazaami umoor ke liye diye gaye hen taa keh woh ummat aur insaniyat ki khidmat kar saken un par haakim ban kar baithne ke liye nahin. har nabi insaaniyat ka sab se bardh kar khidmatguzaar hota hai isi liye woh is baat ka mustahiq qaraar paata hai keh us ki tareef ki jaaye keh yeh shakhs sab se achha insaan hai kyunkeh is ne insaniyat ki sab se badh kar khidmat ki hai.

yahee wajah hai naik logoon ki pooja paat nahin ki jaati balkeh un ke kaarnamoo ko yaad kiya jaata hai jis ki wajah se duniya main insaaniyat zinda rehti hai. naiki bebunyaad aqeedun aur befaaida kaamun ko nahin kehte balkeh un kaamun ko kehte hen jin se insaanu ko faaida pohnchta hai aur isse se duniyaa khoobsoorat banti hai.

quran ke lafzi tarjame isi liye ghalat hen kyun keh lafzi tarjamun se quran ki baatun ke asal mafoom samajh nahin aate. tafseerun main bhi isi tarah ki sakht ghaltiyan payee jaati hen.

yahee wajah hai tarjamun aur tafseerun ko ghor se padhne ki zaroorat hai ta keh jahan tazaad nazar aaye wahan asal baat ko samjha jaaye taa keh badaqeedagi aur badamaali peda na ho. isi se deen mazhab main tabdeel ho jaata hai aur firqa parasti ki ibtadaa ho jaati hai. log quran ko is liye padhte hi nahin keh isse duniyaa main saheeh tarah se jeene ka model akhaz kar saken jo quran ke nazool ka asal maqsad hai. yahee wajah hai aaj tak duniyaa main deene islam aik nizaam ki hesiyat se apnaaya hi nahin gayaa. ambiyaa ne apni apni jaga jo jo koshishen keen woh un ke apne apne ilaaqun tak hi mehdood raheen. aik zamaana tha jab aik insaan deen ko door tak pohnchaa hi nahin sakta tha. logoon ke paas aaj ki tarah ke wasaail mojood hi na the is liye un ko kaam hi utni diya gayaa jitna woh kar sakte the.

is ummat ko bahot badaa kaam diya gayaa hai aakhree nabi ke ummati hone ki wajah se magar ham logoon ne apna farz nibhaane main shadeed kotahee ki hai jis ki ham ko aik arse se sazaa mil rahee hai. ham deendar nahin rahe balkeh pujaari aur majaawar ban kar baithe rahe hen aur aaj is ummat ke halaat yahan tak pohnche hen.

jis kisi ne bhi ham ko deen ki taraf bulaaya ham ne us ko bahot se achhe achhe alqaab se nawaaza aur khud phir se apni apni pooja paat main masroof ho gaye.






ham khud musalmaan na ban sake aur un musalmaanu ki qurbaniyun ko bhi zayaa kar diya diya jin logoon ne ham ko pakistan diya sab kuchh lutaa kar.


 
Last edited:

Back
Top