masla cheen amrika ka nahin hai balkeh sab haraami logoon ki apni aik alag hi duniya hai. ye log chahte hen in ko kerne diya jaaye jo ye chahen. aisa to kabhi is duniya main kisi bhi tareeqe se ho hi nahin sakta. is liye keh her aik shakhs doosrun ka dushman hai. kia jab deene islam nahin tha to insaan aapas main araam se reh rahe the? quraan bataata hai keh nahin balkeh aik lihaaz se un ke khoon kharaabe hi ki wajah se khudaa ko apni wahee ka aaghaaz kerna pada taa keh un insaani shakal ke jaanwarun ko aqal sikhaaya jaaye theek tarah se is duniya main rehne ke liye.
tab se le ker aaj tak insaani shakal ke jaanwar ziyaada tar jaanwar hi rahe. khudaa ne jo log bhi un ki hidaayat ke liye bhaije ulta un ko bhi aise logoon ne apna haraami pan khul ker dikhaaya. jab insaani shakal ke jaanwarun ne apne zindagi guzaarne ka raasta hi zaati mufaad parasti ko banaaya hai to phir is tarah se zindagi guzaarne ka nateeja aur ho kia sakta hai us ke siwaa jo ham sab ke bilkul saamne hai? agar ham sab log khudaa ke liye jeete to kia us ka ye nateeja ho sakta tha? her giz nahin.
quraan sab insaani shakal ke jaanwarun ko asal insaan ban ker jeena sikhaat hia is duniya main. issi liye ye aur kisi bhi tareeqe se jeene per pabandi lagaata hai keh her doosra zindagi guzaarne ka raasta bura nateeja hi saamne laaye ga. quraan ke mutaabiq aur kisi bhi zindagi guzaarne ke raaste per chal ker insaan wahaan nahin pohnch sakte jahaan quraan insaanu ko pohnchaana chahta hai. yani behtareen zindagi is duniya main aur aane waale duniya main bhi.
issi liye logoon ko chahiye woh khud ko quraan ko theek tarah se samajh sakne ke qaabil karen. jab tak log jaanwarun ki tarah aqlo fiker ke baghair zindagi guzaaren ge jis tarah se guizaar rahe hen tab tak in ki haalat bhi nahin badle gi. ye duniya khudaa ka banaaya huwa ghar hai insaanu ke liye aur is main khudaa ke hi house rule chalen ge warna barbaadi hi barbaadi hoti rahe gi insaanu ki aik doosre ke haathun agar rok sakte ho to rok ke dikhaao? aaj tak to apni man maani ker ke insaanu ne khud ko hi barbaad kiya hai to kyun na khudaa ka asal nizaamen zindagi achhi tarah se samajh ker apnaaya jaaye? For better understanding of deen of islam from the quran see
HERE,
HERE,
HERE and
HERE.