karo karo, koi bhi Pakistani aisa na chhorna jis kay dil mein establishment, PDM, especially PPP, PMLN & Fazlu kay nafrat na baith jay. Pakistan default karney ko hay, economy ki kisi ko fiker nahi, industry saari band ho gai, business tabah ho gaey, export khatam ho gai, remittance aa nahi rahein. is sub pe koi tawaja nahi bus PTI ko khatam karna hay, jitna zor PTI ko khatam karney pe lagaya hay itna corruption khatam karney pe lagaya hota to aaj Pakistan ki growth 8% hoti, aisey hi chalta raha to mulk salamat nahi rahey ga, log gharo se ghaseet kar nikaal kar marein ge. Dafault ka ailaan bhi isi liey nahi kia jaa raha keh pata hay poorey mulk mein hangamey shoro ho jaein ge. Yaqeen karein jub bijli, gas kay bill aatey hain logo ka dil karta hay bumb bandh kar kisi assembly mein, kisi adalat mein, kisi cantonment area mein ghus jaein or phat jaein (ye maine kai logo se suna). Kuch khiyaal karo mulk ka. Aik zidd ki waja se mulk tabah na karo. Imran khan ager hakomat mein aa bhi gia to koi 100 saal nahi betha rahey ga, akhir us ne bhi marna hay, jo jo aaey hain sub ne jaana hay. Ager PTI ya Imran khan economy theek kar laiti hay to is se Fouj, mulk sub ka faida hi hay, nuqsaan kis ka hay???. PMLN ki karkardgi sub ne dekh hi li hay, is se ziada ye kia karein ge, ye in kay bus ki baat nahi, Khuda kay liey arbab-e-ikhtiyaar hosh karein, mulk hay to sub kuch hay mulk na raha to tum sub bhi nahi raho ge. Allah daro, awaam ki haalit dekho