والدین کی وفات کے بعد ان کی قضا نمازیٍں ادا کرنا ؟

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
mazhabi aqaaid main aur amaal main insaaniyat ki koi bhalayee nahin hai. islam asal main ummat banana aur banaana hai aur khudaa ki hakoomat qaaim karna hai isi duniya main insaaniyat ki bhalayee ke liye.

logoon ke paas agar waqt hai to woh quraan ko samajhne main guzaaren isse behtar koi amal ho hi nahin sakta. is liye keh quraan ka asal paighaam samajh main aa gayaa to sab ke liye khiar hi khair hai yahaan bhi aur aage bhi.

quraan jis maqsad ke liye diya gayaa hai insaanu ko agar un ki us per nazar hi nahin to zindagi hi bekaar hai. idhar udhar maathe ragarne se kuchh haasal nahin ho ga.

agar log jo un ke man main aaye karte rahen ge to duniya main behtari kabhi bhi nahin aaye gi. agar insaanu ne duniya ko jannat banaana hai apne liye to un ko bohat mehnat karni ho gi aur tareeqe ki bedangi mehnat aik laa haasil mushaqqat ho gi.

For proper understanding of the quran and deen of islam HERE, HERE, HERE and HERE. logoon ko apne amaal ki khabar nahin hai doorun ke liye kia karen ge?