zaroorat is baat ko samajhne ki hai keh jo kuchh bhi Allah aur us ke nabi ne farmaaya deene islam, ummat aur mumlikate khudawandi ke pasemanzar main farmaaya.
lihaaza aisa nahin hai keh yeh baaten bas alag alag baaten hen jin ka aapas main koi taaluq hi nahin hai. musalmaan kehlwaane waalun ki gumrahi ki asal wajah hi quran ki aayaat ko aapas main jod ker na samajhna hai. isi liye in ke qurano hadees ke tarjamun main jaga jaga tazaadaat paaye jaate hen. aik taraf yeh ummat ki aur mumlikate khudawandi ki baat karte hen aur doosri taraf zakaato miraas ki jo ummat banane hi nahin dete is liye keh in ki wajah se ummat main fasaad hota hai logoon main aapas ki naa hamwaariyun ki wajaha se.
kia quran ka zakaato miraas ka nizaam woh hai jo mullah ne quran ke sar thop diya hai? agar aisa tasleem ker liye jaaye to phir yeh log ham ko yeh samjhaayen kia aise nizaam ke teht ummat ban sakti hai aur kaise? jab insaanu main rizq ki taqseem ghalat tareeqe se Allah ke sar thop di jaaye to phir nateeja kia ho ga wohee jo aaj hamaare saamne hai. yani kuchh log had se ziyaada ameer aur kuchh log had se ziyaada ghareeb.
agar aik shakhs ko yeh ijaazat khudaa ke naam per de di jaaye keh aap 97.5% daulat apne paas rakh ker aish ker sakte hen aur doosre ko 2.5% per guzaara karne per khudaa hi ki taraf se majboor ker diya jaye to insaaf kia huwa aur kaise ho ga? kia ghareeb aadmi kabhi bhi ameer aadmi ke saath muqaabla ker sakta hai? isi liye main yeh samjhaane ki koshish ker rahaa hun pehle us nizaam ko theek tarah se samjho baad main us ki tashheer karna.
khudaa ke zimmen daulat aur zameen ki taqseem ghalat tareeqe se lagaana hi to kufar hai.
khudaa ke mulak ko chalaane ke nizaam ko pooja paat banaa dena hi to kufar hai. kia khud ko musalmaan kehlwaane waalun ki bahot hi badi aksriyat inhi baatun ko deene islam nahin keh rahi aur maan rahee? phir aise islam se kia duniya ke deegar nizaam behtar nahin hen to phir aise islam ki zaroorat hi kia hai jo logoon main ameeri aur ghareebi ka taayun ker de?
khud ko muisalmaan kehna aur aisi behuda baaten khudaa aur rasool ke zimmen lagaana kahaan ki musalmaani hai? balkeh yeh to bahot hi badi shaitaani hai jis ke zimmadaar sirf aur sirf hukamraan, sarmaayadaar, mullah aur un ke madadgaar hen jo un ki ghalat baatun ki deene islam ke naam per tashheer ker rahe hen. yahee log isi wajah se shaitaani tola hen khudaa ki nazar main.
lihaaza qurano hadees ko theek theek samajhne ki koshish karo aur woh nizaam saamne laao jo insaanu ke masaail ka asal hal hai warna gumrahi mat phelaao deene islam ke naam per apne ahmaq pan ki wajah se. aankhen kholo aur baatun ko samajhne ki salahiyat per kaam karo tab musbat nataaij niklen ge warna nuqsaan hi nuqsaan hai.
islam ke arkaan ka woh maqsado matlab hi nahin hai na hi ho sakta hai jo mullah ne ummat ko bataaya huwa hai apne ahmaq pan ki wajah se magar ummat ko bhi to aqlo fikar se kaam lena chahiye warna ummat ki haalat badalne ka sawaal hi peda nahin hota.
jo kuchh maine likha hai us ko ghor se padho aur aqal seekho aur ghalat baatun ko deene islam se mansoob mat karo. agar aisa karte raho ge to phir in haalaat se ummat nikal hi nahin sakti jin se aaj do chaar hai. For a more detailed explanation of things about the quran and deen of islam see
HERE,
HERE and
HERE.
kia deene islam zulm ka hissa hai agar hai to phir is ke zariye aman kaise ho sakta hai? is sawaal ka jawaab do agar aap logoon ke aqeede sachche hen jin ke zariye aap log deene islam ko badnaam ker rahe ho.
kia quraan ke sayaaqo sabaaq main lafze zakaat ka woh matlab ho sakta hai jo ham ko mullah ne bataaya huwa hai? nahin ho sakta to phir bataao is lafz ka quran ke sayaqo sabaaq main kia maani ho sakta hai?
isi liye iqbal ne mullah per hamesha kadi tanqeed ki hai aur un ko fasaad phelaane waala kahaa hai.