ٹیم ورک میں اگر "میں" کے بجائے "ہم" کا لفظ استعمال کیا جائے، تو ماتحت اُس کام میں برابر کا حصّہ دار سمجھ کر دل لگا کر کام کرنے لگتے ہیں۔ جیسے کہ صرف کمپنی کے بجائے ہماری کمپنی، یا ہمارا دفتر کہنے کی عادت ڈالی جائے، تو ادارے کے ماحول پر کافی مثبت اثر پڑتا ہے
ٹیم ورک میں اگر "میں" کے بجائے "ہم" کا لفظ استعمال کیا جائے، تو ماتحت اُس کام میں برابر کا حصّہ دار سمجھ کر دل لگا کر کام کرنے لگتے ہیں۔ جیسے کہ صرف کمپنی کے بجائے ہماری کمپنی، یا ہمارا دفتر کہنے کی عادت ڈالی جائے، تو ادارے کے ماحول پر کافی مثبت اثر پڑتا ہے
sab se pehle yeh baat samajhne ki zaroorat hai keh deene islam hai kia. yeh sirf aur sirf quraan ko saheeh tarah se samajhne se hi pata chal sakta hai warna nahin.
quran ko theek tarah se samajhna us waqt tak mumkin nahin hai jab tak insaan ko yeh maloom na ho jaaye keh kisi baat ko theek tarah se samajhne main syaaqo sbaaq ki kia ehmiyat hai. syaaqo sbaaq hi se quran ke maqsad ko samjha jaa sakta hai warna nahin. ummat ki aik bahot hi badi tadaad gumrah hi isi liye hai keh yeh log quran ke syaaqo sbaaq se hi naa waaqif hen. yahee wajah hai in ke aqaaido amaal main beshumaar tazadaat paaye jaate hen. aur yahee wajah hai in ke firqa firqa hone ki.
deene islam dastoore khudawandi hai khudayee mumlikat ko chalaane ke liye. yeh qanoone khudawandi hai. jab tak log dastooro qanoon ki ehmiyato zaroorat ko nahin samajhte woh quran ko samajh hi nahin sakte. yahee nahin balkeh yeh baat bhi jaanana laazmi hai deene islam per chalna khudikhtiyari baat hai yani yeh self regulation ki baat hai qanoon ke mutaabiq. dastooro qanoon shikan log khuda ke bande ho hi nahin sakte. is liye keh khuda ka banda to wohee ho sakta hai jo us ke dastooro qanoon ki paasdaari kare na ke us ko tode.
kyunkeh deene islam dastooro qanoon hai lihaaza is ka mazhabi aqaaido amaal se koi taaluq hi nahin hai. yahee wajah hai jab se logoon ne dene islam ka label mazhab per chispaan ker diya hai woh na idhar ke rahe na udhar ke rahe, bas uljhanun main phanse hen. in ki yeh haalat us waqt tak nahin badal sakti jab tak log deene islam ko phir nai sire se samajhne ki koshish nahin karte. For a detailed explanation of things about the quran and deene islam see HERE and HERE.