her zabaan insaanu ki apni hi zabaan hai keh khud insaanu hi ne us zabaan ko ijaad kiya hai . asal masla insaanu ko khudaa ki zabaan ko theek tarah se samajhna hai jo is dor main sirf aur sirf quraan hi main mahfooz hai.
jab tak log khudaa ki zabaan ko theek tarah se samajhne se door rahen ge un ke liye aapas ke her tarah ke masaail mojood rahen ge. sab kuchh aise hi hota rahe ga jaise hota rahaa hai. agar insaanu ne apni duniya aik haseen duniya banaani hai to phir ye quraan ki taleem ko nazar andaaz ker ke nahin banayee jaa sakti. aaj tak koi nahin banaa saka to aage bhi koi nahin banaa sake ga jab tak quraan ko theek tarah se soch samajh ker na apnaaya jaaye ga. For better understanding of deen of islam from the quran see
HERE,
HERE,
HERE and
HERE.
log zabaan ki bunyaad per, rango nasal ki bunyaad per, ilaaq ki bunyaad per, maalo dolat ki bunyaad per, apne apne mukhtalif afkaaro nazriyaat ki bunyaad per taqseem dar taqseem hi rahen ge. is liye keh insaanu ko aik sirf aur sirf un ka maqsade zindagi hi ker sakta hai aur woh insaanu ne apna apna banaaya huwa hai bajaaye khudaa ki taraf se diya gayaa maqsade zindagi soch samajh ker apnaane ke. lihaaza insaanu ke darmiyaan jang jaari rahe ge jab tak ye aqlo fiker se kaam nahin len ge.
asal masla insaanu ka asal taleem aur saheeh tarze taleem se doori hai. kerta dharta log apne apne maqaasid ke teht insaanu ki taleem aur tarze taleem ko control ker rahe hen bilkul waise hi jaise log aik doorse ka roti paani control ker rahe hen.
logoon ki jahaalat ka ye aalam hai keh jin pe guzrti hai woh bhi drust soch nahin rakhte keh aakhir un ke saath jo kuchh huwa hai ya ho rahaa hai woh huwa hi kyun hai?