اسکا جواب ذیل کی امیج میں دیا جا چکا ہے، مگر آپ لوگ نظر انداز کر گئے ہیں۔
yaar bhaaarr mein jai PTI aur bhaaarr mein jai IK. PTI kiya kah rahee hai aur IK kiya kah raha hai mujhay iss say koee wasta nahin. Kiyoon kay naa IK iss mein stakeholder hai aur naa he in haalaat ka woh zimmaydaar hai jo iss waqt karachi mein hain.
By the way Saulat Mirza riha ho gaya? Aur Ajmal Pahari? Kin adaalatoon nay chorr diya hai inko? Aur aap kab say adaalatoon kay faislay maan'nay lag gai?
Please refrerence tu zara dijiyay kay judiciary nay JITs ko reject kar diya hai.
فوج تعیناتی موجودہ صورتحال میں سب سے بہترین آپشن ہے۔
Zara iss per tafseel say roshni daal dijiyay kay yeah haalaat aur pichlay 5 saal kay haalaat
karachi kay aik aam shehri kay liyay kaisay mukhtalif hain. MQM ki siyasat kay hawaalay say daleel naa paish kijiyay ga kiyoonkay sub ko maloom hay kay MQM kay sirif siyaasi halaat he badlay hain baaqi sub waisa he hai. balkay halaat 2012 mein iss say kaheen ziyada kharaab thay per MQM kay kaan per koee joon nahin raing rahee thee kiyoon kay usskay haalaat aik dum perfect thay - thanks to that clown, rahman malik and dr asim.
اور یہ جی آئی ٹی کی طرح کوئی "خفیہ" رپورٹ نہیں ہو گی بلکہ پورا کراچی، پورا میڈیا، پورا ملک ہر کوئی انہیں مونیٹر کر رہا ہو گا اور انکے لیے ممکن ہیں ہو گا کہ وہ 90 کی دہائی کی طرح اندھا دھند ظلم کریں اور کوئی انکے ظلم کو ریکارڈ کرنے والا نہ ہو۔
Hain? yaani, aapki marzi say JIT banay gi? Kab say khufiya idaaroon ka kaam open honay laga bibi? Yeah pakistan hai -
just to make sure are we still talking about Pakistan and particularly about Karachi???
Baqi yeah jo JITs 2008 say kar 2012 tak bani theen uss waqt
pura karachi, pura media, pura mulk kiya vacation per gaya howa tha?