Baat ye hai sir Karachi ki Awam PTI se bhi kuch had tak mayoos hoe hain,, 11 May k baad Karachi me PTI ka koi Stake nahi nazar araha,,
NA-250 PS112 PS113 pti jeeti thi to is tarah se ye in k elaqe hoe, per aaj tak yahan inho ne ek Unit Office ya sector office tak qaim nahi kia, local area per kuch kam karae hain Alvi sahab ne or PS112 ka MPA bhi work kar raha hai per PS113 ka samar ali khan to 11 may se ghayab hai aj tak nazar nahi aya,
In ko Local grounds per mehnat karni chaiye, moqo per logo k sath khare hon jese muttahida k log hote hain, in k karkun wahan per work karein jahan per ye development k kaam karate hain, in ka flag hona chaiye taa k logo ko pata chale k falan development ka kaam pti kar warahi hai, per nai aisa kuch nazar nahi araha,,Clifton Defence me pti itne margin se jeeti jab yahan per nazar nahi aaegi PTI ki presence to baqi KHI me kese nazar aegi??
Aap kal k elections me dekho
KORANGI MQM KA GARH SAMJHA JATA HAI
or LANDHI MQM HAQIQ KA
Jab Altaf/Afaq larai hoi to Korangi ne Altaf ka or Landhi ya Maleer ya Orangi ne Afaq ka sath diya per aaj aap elections ka result dekho
MQM KA GARH KORANGI KI SEAT SE Total Votes jo Poll hote hain to 17%,, or aap pehle k results dekho dhaandli wale to wahan voter turn out 60-70% tak hota hai kyun k dhandli hoti thi or army deploy nahi hoti thi.
per yahan 17% turnout hua or 14% MQM ko vote para isse ye pata chalta hai k MQM K GARH K ANDAR MQM KA GENUINE VOTER BHI SIRF 14% HAI, to aap socho k agar PTI work kare, or ground level per apni presence banae or GENUINE TURN OUT MQM K GARH KORANGI K ANDAR HI 50% HOJAE T PTI KITNE BARE MARGIN SE JEETEGI!!
aap socho 83% voter nikla hi nahi vote karne q k ek to wo 11 MAy se naa khush the, uper se PTI karachi me 11 may se nazar nahi arahi to awam ***** hai kyun niklegi vote karne??? wo bhi Chutti ka din nahi tha to apna kaam dhanda chor kar kon niklega???