براے مہربانی مطلب سمجھا دے

swing

Chief Minister (5k+ posts)
sub say pehlay yeh k plz urdu mai he reply kerna warna na kerna.
dosra yeh k ho sakta hai k kisi ko yeh post useless lagay mgr agar kisi ko samaj
aa jaye tou plz bata de k pehlee line ka matlab kia ho sakta hai jis mai likha hai
k SOCH AGER GEHREE HOO JAYE TOU FAISLAY KAMZOOR PER JATAY HAIN.

(with misaal plz)


5842f7194506a45514afd4f384ed72a5.jpg
 

Young_Blood

Minister (2k+ posts)
its so easy my dear,,,
aap koi bhe fesla kerne se pehle agar bohat ziada sochein gay, to aap ko uss fesle k nuqsanaat aur faiday pata chalein gay,, issi liay kaha jata hai k phir fesla kerna mushkil ho jata hai,,,
Raymond Davis ke misaal aap k samnay hai, Pakistan ne bohat socha,, sochne k baad unho ne american faiday ko tarjeeh de, aik taraf pakistani aur pakistan tha aik taraf america, socha, aur socha, fesla mushkil hota chala gaya, Judicary ko ganda keeya, Deeyat day ker pakistanio ko budnaam keeya, aur fesla america k haq main kerwa dia,, so simple,,,,
pakistani jaaein bhaar main, kuch musharaf ne baich diay, kuch zardari ne,, bus america bahadur naraz na ho, kiun k aakhir hum ne qabar main thori jana hai, america main ja k basna hai, jaha mout nahi aati,,, ye soch hai hum pakistani politicans ke,,,
 

Ch Azam

Councller (250+ posts)
is main aik tu is bat ki taraf ishara ha ki faisala karnay say pehlay achi tarha ghor-o-fikar kar lo, phir faisla karo................or dosri cheez ye ha k jab ham pehlay faisla kar letay hain or bad main sochtay hain to jesay jesay ziada ghoor kartay chalay jatay hain to hamain apnay faislay main kamzorian or naqais nazar anay lagtay hain, or hamara faisla kamzoor parnay lagta ha.......pehlay ham double minded hotay hain or phir faisla hi badal letay hain.........................
 
sub say pehlay yeh k plz urdu mai he reply kerna warna na kerna.
dosra yeh k ho sakta hai k kisi ko yeh post useless lagay mgr agar kisi ko samaj
aa jaye tou plz bata de k pehlee line ka matlab kia ho sakta hai jis mai likha hai
k SOCH AGER GEHREE HOO JAYE TOU FAISLAY KAMZOOR PER JATAY HAIN.

(with misaal plz)


5842f7194506a45514afd4f384ed72a5.jpg

سوال۔ سوچ گہری ھو جائے تو فیصلے کمزور پڑ جاتے ھیں۔
جواب- کوئی فیصلہ کرنے کے لئے اگر آپ زیادہ سوچیں گے تو ششوپنج میں پڑ جائیں گے۔ ھر فیصلہ کا ایک وقت ھوتا ھے۔ زیادہ سوچنا سے کہیں فیصلہ کو وقت ھی نہ نکل جائے۔ وقت پر کیا گیا فیصلہ ھی کارآمد ھوتا ھے۔
سوال- غم کا علاج مصروفیت ھے۔
جواب- مصروف انسان بہت کچھہ بھول جاتا ھے۔ اپنے ذھن کو غم کے اندھیروں میں بھٹکانے سے بہتر ھے کسی بامقصد کام میں مصروف رکھا جائے۔ یا کوئی ایسا کام جس سے خوشی حاصل ھو اور دل کو سکون ملے۔ خالی دماغ شیطان کا گھر ھوتا ھے۔ نکما انسان شیطان کا دوست۔
سوال- اپنے ھر خیال ھر عمل میں نیک بنو۔
جواب۔ انسان کے ھر اچھے برے عمل میں اس کے خیالات اور سوچ کا عکس ھوتا ھے۔ انسان جو کچھہ سوچتا ھے دماع اس کو اس کام کی طرف لے جاتا ھے۔ اچھے خیالات کا مالک انسان اچھے کام ھی کرے گا۔
میرا ایک شعر۔
تیر رویہ لے جنم تیرے خیالوں سے
بدل تو سوچ کا ڈھنگ زندگی بدل جائے۔