Re: ایک مردہ اور بے حس قوم
jin logoon ko un ke zehnun main mutazaad baaten daal kar uljhaa diya jaaye woh kisi qanoon ko koi ehmiyat de hi nahin sakte.
qanoon ko ehmiyat sirf aur sirf wohee log de sakte hen jin ko yeh achhi tarah baawar karaa diya jaaye keh qanoon ki pabandi kiye baghair chhutkaara nahin hai.
har taraf in baatun ki bharmaar hai yeh karo ge to gunah maaf woh karo ge to gunah maaf, yeh sifaarish woh sifaarish waghera waghera. aisi haalat main kisi ko kia padi hai keh asaan raasta chhor kar mushkil raasta apnaaye jis main achhi khaasi mehnat karni pade?
jis din log baith kar sochen ge keh mullah ne in ko kaise kaise ajeebo ghareeb asbaaq padhaaye hen deene islam ke naam par woh aise kaam karne chhor den ge jo nahin karne chahiyen.
qowm qatan murda nahin hai is ko deene islam ke naam par gumrah kiya gayaa hai. in ko bebunyaad aqaaid aur befaaida amaal bataa kar asaani se jannat main jaane ke tarah tarah ke raaste bataaye ge hen lihaaza log woh raaste usi waqt chhoren ge jab woh khud quran ka mutaalia karen ge is liye keh is ke paighaam ko saheeh tarah se samjhen. ham ko us waqt tak qowm ke saheeh raaste par aane ka intazaar karna ho ga. agar ham jaldi chahte hen to phir ham ko is baat par mehnat karni ho gi ham logoon ko saheeh raaste par kaise laayen. jitne ziyaada log jitni ziyaada mehnat karen ge is baat ke liye is ka anjaam utna hi jaldi hamaare saamne aa jaaye ga.
http://archive.org/details/Al-Quran_905