aik aik lafz jaisay anmol motion se pro dia hai or aik aik lafz hamari haqeeqat ko aisy bayan ker raha hai jaisay ye shakhs hum main se hai or humain dekh raha hai.....
jahan logon ko buniadi zarooriat ke liay hi zaleel ker dia jaay wahan shaoor or danishmand kahan se paida ho? jo koi haq baat kere to mara jaay.... ya itna dra dia jaay keh wo maslehatan ya mufad ki khatir zaban bandi ker le ya oos ko nishan-e-ibrat bana dia jaay to wo qaum ilm o shaoor se aisay hi baanjh ho jati hai jaisay aaj hum sub.... waqat aay ga jab ye qaum bhookay janwar ki trah kisi bhi khauf se aari ho ker in per jhapat pere gi or tab in ko khayal aay ga keh zulm ki bhi koi inteha hoti hai..... or agar aisa na hua to Allah to hai hi jo aisi qaumon ko tabah o barbad ker ke inn ki jagah koi or qaum le aay ga jo in se behter ho