jab mulk ki aadhi abaadi auratun ki soorat main naakaara rahe gi ya rakhi jaaye gi to mulk ka yahee haal hona hai.
phir ghareeb aur ameer alag alag ho jaayen ge ya ker diye jaayen ge to mulk ki bahot hi ziyaada badi abaadi bekaar reh jaaye gi ya ker di jaaye gi. to mulk ka yahee haal ho ga.
yahee wajah hai agar mulk ko taraqi aur khush-haali ki rah per chalaana hai to phir wohee raasta apnaana ho ga jo mulk ko taraqi aur khush-haali ki taraf le jaata hai. warna tabahi aur barbaadi hi is mulk ke logoon ka muqaddar ho ga, aaj nahin to kal.