Why and how much Zakat to be paid?

Mr. A

MPA (400+ posts)
As being a Muslim, after Namaz, Zakat is also the fundamental part of Islam. But this part is only implemented on the person who has such amount or wealth prescribed by Islam.
Zakat means Purification. It’s a type of Tax which we pay to Allah but instead of decreasing our wealth increases. Zakat is obligatory to every Muslim whether sane whose accumulated wealth exceeds the current Zakat nisab value.

Why is it essential to give zakat?

‘You shall observe the Salah and give the obligatory charity
(Zakat), and bow down with those who bow down.’ (Qur’an 2:43)


In a Hadith, it is quoted,

Hazrat Abu Hurairah (Ra) relates that Hazrat Muhammad (saw) said whom
so ever Allah gives wealth, but who do not pay its zakat, his wealth will be
likened for him on the resurrection day to a huge bald snake having two
fangs. It will bite him around his neck and take hold of him with his two
fangs meaning its two jaws and say – I am your wealth and I am your
hidden treasure. Then he recited “and let not those who covetously
withhold of that which Allah has bestowed on them out of his bounty”.
[Bukhari]


What is the Zakat Percentage?
Your Zakat donation should amount to 2.5% of your annual total wealth grew over the year. As an example, if your total assets amounted to 1,816,744, then you would be required to pay 45,414 as Zakat.

How much Zakat I have to pay?
Our Prophet Muhammed (saw) has set Nisab at the rate equivalent to 87.5 grams of gold and 612.4 grams of silver. In today’s world, it is normally a similar amount in your local currency. The value of silver in Hanafi is used to determine the eligibility of the Nisab to pay Zakat. The value of gold is used in other sects. The value of gold and silver changes every day, so your Zakat payment changes somewhat annually.

What do I need to pay Zakat on?
Zakat should be paid on wealth rather than income. Okay let’s take an example of Azam who earns 3,650,823 a year and has 36,508.23 as his yearly savings, in contrast with his annual income, Azam would have to calculate his zakat from his savings i.e. the 36,508.

The things that Zakat is to be paid on include: cash, gold and business assets.
Another commonly asked question is whether Zakat needs to be paid on valuable items such as property or cars. The answer to this question is, no. These items are exempt. However, if you intend to sell these items then it becomes a trading good and Zakat will be due on such items if a lunar year passes from the time of your intention to sell.

The value for Nisab differs according to change in the market price of Gold/Silver:

7 ½ Tolas gold = 87.48g
Price of gold in April 2019 is (a) 5,947.89per gm
Gold Nisab = 87.48 x (a)= 520,321.55

52½ Tolas silver 612.35g
Price of silver in April 2019 was (b) 71.52per gm
Silver Nisab = 612.35 x (b)= 43,803.18

The lowest of these two values, (c) 43,802.56 is the value of Nisab.
If one has in his/her possession mixed wealth (e.g. gold, silver, cash etc) equal to (c) 43,802.56 that has remained in his/her possession for one whole lunar year then Zakat of 2 ½ % (1/40) of the total balance is due.


Zakat on Shares

  • If the shares are purchased solely with the mind of reselling them (capital gains), the market value of the shares must be paid by Zakat.
  • If shares are bought with the purpose of profiting from the shares,
  • If the business is of trading, e.g. cloth, iron, steel, machinery goods, cement, or supplies electric power etc, then Zakat will be paid on the market value of the shares e.g. If a share worth 18,244.00 comprises of the following, then Zakat is only payable on 7,297.60.
  • If wealth decreased from the total Nisab over the year but at the beginning and the end of the year, it is equivalent to or greater than Nisab, it shall be considered as the part of Nisab over the whole year.

WHITE GOLD: zakat is also to be paid on white Gold because it is considered as an asset and also that 75% of White Gold consists of real Gold and 25% of other material, so zakat is required to be paid on White Gold.

PROPERTIES: If the property was bought with the purpose of renting not for reselling than Zakat will only be paid on rent and not on the value of the property.
However, Islamic Scholars hold different opinions in this regard.
https://www.rightdeed.com/blog/749/why-and-how-much-zakat-to-be-paid
 

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
Ap is ka sahi hawala dedo

azeezam ali adnan asim sb, mazhab, secularism aur deene islam teen mukhtalif cheezen hai. mazhab pooja paat ke siwaa kuchh nahin hai. lihaaza pooja paat se insaanu ki zindagi ki zaroorten poori nahin ho saktin. issi liye mazhabi log secularism ko apnaate hen apni zindagi ki zaroorten poori karne ke liye. magar kyunkeh secularism adlo insaaf ke taqaaze poore nahin ker sakta is liye log isse bhi badi had tak bezaar hen.

deene islam khudaa ki taraf se insaanu ke liye is duniya main theek tarah se rehne ka raasta hai ta keh woh is duniya main is tarah rahen keh khudaa ka un ko takhleeq karne ka maqsad poora ho sake. aakhir khudaa ne insaanu ko kisi maqsad ko madde nazar rakh ker hi to takhleeq kiya hai, aise hi befaaida ya bemaqsad to peda nahin kiya hai. lihaaza zaroori hai ham us maqsad ko jaanane ki koshish karen aur is baat ko samajhne ki koshish karen keh aakhir ham ko karna kia ho ga jisse khudaa ka maqsade takhleeq poora ho sake.

jab ham is tarah ki baatun ko samajhne ki koshish karna shuroo ker den ge hamko deene islam ki saheeh samajh aana shuroo ho jaaye gi.

deene islam ko theek traah se samajhne ke liye ham ko quraan ko theek tarah se samajhne ki koshish karni ho gi warna deene islam ham ko theek tarah se samajh main nahin aaye ga. yahee nahin ham ko woh drust aur kaaraamand tareeqa jaanane ki koshish karna ho gi jisse ham quraan ko theek tarah se samajh saken.

sirf mullaan ke quraan aur hadis ke tarjamen aur tafseeren ya tashrihaat padhne se ham ko deene islam samajh main nahin aaye ga, is liye keh in logoon ne apne apne tasawuraat ke mutaabiq quraan aur hadison ko mazhabi bunyaadoon per mutarajam kiya hai. jis ki wajah se deene islam ka asal paighaam chhup gayaa hai aam logoon ki nazaroon se jo in ke tarjamoon per inhisaar karte hen. For a detailed explanation of things about the quran and deen of islam see HERE and HERE

regards and all the best.
 
Last edited:

Mr. A

MPA (400+ posts)
azeezam ali adnan asim sb, mazhab, secularism aur deene islam teen mukhtalif cheezen hai. mazhab pooja paat ke siwaa kuchh nahin hai. lihaaza pooja paat se insaanu ki zindagi ki zaroorten poori nahin ho saktin. issi liye mazhabi log secularism ko apnaate hen apni zindagi ki zaroorten poori karne ke liye. magar kyunkeh secularism adlo insaaf ke taqaaze poore nahin ker sakta is liye log isse bhi badi had tak bezaar hen.

deene islam khudaa ki taraf se insaanu ke liye is duniya main theek tarah se rehne ka raasta hai ta keh woh is duniya main is tarah rahen keh khudaa ka un ko takhleeq karne ka maqsad poora ho sake. aakhir khudaa ne insasanu ko kisi maqsad ko madde nazar rakh ker hi to takhleeq kiya hai, aise hi befaaida ya bemaqsad to peda nahin kiya hai. lihaaza zaroori hai ham us maqsad ko jaanane ki koshish karen aur is baat ko samajhne ki koshish karen keh aaklhir ham ko karna kia ho ga jisse khudaa ka maqsade takhleeq poora ho sake.

jab ham is tarah ki baatun ko samajhne ki koshish karna shuroo ker den ge hamko deene islam ki saheeh samajh aana shuroo ho jaaye gi.

deene islam ko theek traah se samajhne ke liye ham ko quraan ko theek tarah se samajhne ki koshish karni ho gi warna deene islam ham ko theek tarah se samajh main nahin aaye ga. yahee nahin ham ko woh drust aur kaaraamand tareeqa jaanane ki koshish karna ho gi jisse ham quraan ko theek tarah se samajh saken.

sirf mullaan ke quraan aur hadis ke tarjamen aur tafseeren ya tashrihaat padhne se ham ko deene islam samajh main nahin aaye ga, is liye keh in logoon ne apne apne tasawuraat ke mutaabiq quraan aur hadison ko mazhabi bunyaadoon per mutarajam kiya hai. jis ki wajah se deene islam ka asal paighaam chhup gayaa hai aam logoon ki nazaroon se jo in ke tarjamoon per inhisaar karte hen. For a detailed explanation of things about the quran and deen of islam see HERE and HERE

regards and all the best.
Apne bilkul theek bola
pr usko b to dekho wo
Hadith Mobarikah ko Fake bol rha hai wo nhi apko nazar a rha.
 

Mr. A

MPA (400+ posts)
Hadith are fake chal ja kar sahih Islam parh
bhai mujy to lagta hai k mere say ziyada apko ko zarorat hai
ik banda bar bar hadith mobarikah ko fake bol rha hai wo nazar nhi a rha
or ap mujy olta doosh de rhay hain k islam perh
 

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
Apne bilkul theek bola
pr usko b to dekho wo
Hadith Mobarikah ko Fake bol rha hai wo nhi apko nazar a rha.

azeezam ali adnan asim sb, kisi bhi malumaati mambe ko meri samajh ke mutaabiq bebunyaad nahin kahaa ja sakta na hi rad kiya jaa sakta hai jab tak us ko saheeh tarah se parakhne ke liye pehle drust aur kaaaamand mayaar muqarar na kiya jaaye aur us mayaar per us ko theek tarah se parkha na jaaye aur woh malumaat us mayaar per poori na utren.

yahee nahin khudaa ke kalaam aur logoon ki baatun ki ehmiyat aur hesiyat aik nahin ho sakti. maslan quraan main sab kuchh khudaa bataa rahaa hai insaanu ko. lihaaza ye insaani kalaam nahin hai balkeh khudaa ka kalaam hai.

rawayaat jo ham ko digar kitaabun main milti hen kisi ke mutaaliq woh logoon ke bayanaat hen khudaa ka kalaam nahin. hadeesen bhi logoon ki apni baaten hen jin main woh baaten bhi shaamil hen jo log khudaa ke rasool ke baare mian bataate hen. ab jo baaten log bataate hen un main mukhtalif tarah ki ghalatiyun ka imkaan hai. lihaaza jo riwayaat ham ko riwayaat ko parakhne ke liye drust aur kaaraamand mayaar ke mutaabiq milen gi sirf unhi ko drust maana jaaye ga digar ko nahin.

hadeesun ya taareekh ki baat to door ki baat hai meri aur aap ki baat bhi koi rad nahin ker sakta agar hamaari baat theek hai mutalqa drust aur kaaraamand mayaar ke mutaabiq.

phir ye keh agar ham betahaasha baatun ko rad karna shuroo ker den ge to hamaari koi taareekh hi nahin hogi na koi maazi to aage yani mustaqbil ke program kaise banaayen ge? yad rakhen ham baaten to teen zamaanu ki karte hen yani maazi, haal aur mustaqbil magar asal do hi zamaane hote hen aik past aur doosra future. lihaaza apni past history ko jaanana hamare liye intahee zaroori hota hai apna mustaqbil dekhne ke liye kis taraf jaaye ga ya jaana chahiye.

asal baat yahee hai ham khud ko is qaabil karen keh cheezun ko saheeh tarah se parakhne ke drust aur kaaraamand mayaar khud banaa saken yaa kam se kam pehle se bane huwe aise mayaarun ko theek tarah se samajh saken aur un ko theek tarah se istemaal ker saken.

regards and all the best.