Virtues and Blessings of Ramadan

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)


azeezam atensari sb, thanks for sharing but both doctor sahibaan aik hi baat bataa rahe hen yani sowm ka many training hi hai chahye insaan ki ho ya jaanwar ki ya kisi aur shai ki. ghoraa ho ya insaan ya kuchh aur shai training to behrhaal kisi na kisi maqsad hi ke liye hoti hai lihaaza training ussi tarz ki hogi jo maqsad ko poora kare.

kyunkeh quraan ne sowm ka lafz apne maqsad ke liye istemaal kiya hai to ham ko ussi ke sayaqo sabaaq main dekhna ho ga keh yeh lafz quraan ke maqsad ko kaise poora karta hai. quraan ka bunyadi maqsade nazool insaanu ka aik behtareen maashra qaaim karna hai isi duniya main insaanu hi ke zariye quraan ke program ke mutaabiq, is ke liye laazmi hai quraan ko phelaaya jaaye. is liye education aur training ki zaroorat ho gi ta keh log quraan ko khud bhi jaanen aur khud jaan ker doosrun ko bhi bataayen.

ye is liye keh deene islam ka nifaaz is ke baghair mumkin hi nahin hai. ummat ko isse aik mission yaa tehreek ke tor per razakaraana tareeqe se lena ho ga warna quraan apni jaga dhare ka dhara hi rahe ga aur insaaniyat isse koi faaida na uthaa sake gi.

kyunkeh logoon ka aapas main shadeed ikhtilaaf hai keh insaani maashra kaisa hona chahiye lihaaza baat sirf quraan ko doosrun ko sikhaane ki nahin hai balkeh is main nobat jang tak bhi pohnch sakti hai lihaaza us ke liye bhi tayaari karni ho gi. is liye keh bahot se insaanu ne doosre insaanu ko apna ghulaam banaaya huwa hai jo baghair jang kiye maanen ge nahin keh un ke ghulaam karda ghulaamun ko bhi theek tarah se jeene ka waisa hi haq hai khudaa ki taraf se jo khud aaqa banane waalun ko hai.

doosre lafzun main deene islam aik mukammal program hai jis main her tarah ki laazmi education aur training yani taleemo terbiyat dono hi shaamil hen. issi main kheti baari bhi shaamil aur deegar sab baaten bhi. engineering bhi issi ka hissa hai aur medical training bhi. logoon ke liye kapde seena aur logoon ke baal banaana bhi education aur training main shaamil hai balkeh logoon ke liye joote banaana bhi. yeh aik wasee topic hai jis ko chand ilfaaz main bayaan nahin kiya jaa sakta. deene islam ki sab baaten kisi na kisi wajah ya lihaaz se aapas main juri hui hen. sowm bhi salaat ke saath jura huwa hai aur salaat towheed ke saath aur inhi ke saath jure hen zakaat aur hajj. yeh sab aik hi program ke mukhtalif ajzaa hen.

regards and all the best.