Very Beautiful Recitation of Surah Al-Muzzammil with Urdu Translation

Amal

Chief Minister (5k+ posts)

241695084_598520124862029_4709389209047187065_n.jpg
 

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)

ttps://www.youtube.com/watch?v=orrW9N5sVK4


bahot hi sharam ki baat hai keh jahil logoon ne jin ko jahil log aalim samajhte hen aakhari paighambare khudaa ki ye haalat bayaan ki hai. kia koi bhi aisa shakhs jis ko koi tehreek chalaani ho kisi khaas maqsad ko poora kerne ke liye aisi haalat main mile ga jo in behuda logoon ne paighambar ki bayaan ki hai? aise tarze zindagi to nashaee, sust aur kahil logoon ke hote hen jo zindagi se bezaaro mayoos hote hen?

yahee to kaam hen kerne waale jo ummat ke padhe likhe logoon ko kerne chahiyen yani quraan ki drust tafeeren. ihni ghalat tarjamun hi ki wajah se quraan duniya bhar main sakht badnaam hai. kaafir log aise hi ghaalt tarjamun aur tafseerun se daleelen laate hen un logoon ke khilaaf jo quraan ka asal paighaam logoon ko pohnchaane ki koshish kerte hen. in logoon ka kehna ye hota hai. ye log jin ke tarjamun ko tum ghalat kehte ho in ko to sari muslim ummat aalim maanti hai. aap ki taeed ummat nahin kerti lihaaza asal deene islam wohee hai jo aise log bataate hen.

yahee wajah hai jab tak khud ko musalmaan kehlwaane wale mullaan ke chungal se azaad nahin hote baat ban hi nahin sakti. mullaan ke chungal se azaad hone ke liye logoon main taleem aur soch samajh ka hona zaroori hai. apni jahaalat ko qaaim rakh ker ummat musalsal tabaho barbaad ho rahee hai aur hoti rahe gi.

quraan ham ko talaawat kerne ke liye diya gayaa hai taute ki tarah padhne ke liye nahin. tilaawat ka matlab hota hai kisi ke saath saath chalna us ka madadgaar ban ker ta keh jo us ka maqsad hai woh haasil ho ya us ko haasil kerne main us ki madad ki jaaye. nazoole quraan ka maqsad hi nizaame islam ko logoon ka khud per naafiz kerna hai aik ummat ban ker poore dilo jaan ke saath. taa keh ye duniya khudaa ke gun gaane lage aik jannati insaani maashra paa ker issi duniya main. For better understanding of deen of islam from the quran see HERE, HERE, HERE and HERE.

quraan insaanu ko is liye nahin diya gayaa keh woh saanpoon ki tarah been ke aage jhoomte rahen aur us ka maqsad nazool nazar andaaz ker den. yahee wajah hai keh agar quraan ko samajhna samjhaana maqsad na ho to baaqi jo bhi kiye jaaye woh kabhi bhi nateeja khaiz ho hi nahin sakta.
 
Last edited: