Ramadan Calendar june 2016

yasirashraf271

Senator (1k+ posts)
Ramzan-calendar-2016-for-Pakistan-muslims.jpg

Source
 
سعد

Minister (2k+ posts)
اس شدید گرمی میں بیس منٹ کے ریلیف پر حنفی حضرات امام ابو حنیفہ کے بلند درجات کے لئے دعا کریں
 
Kavalier

Chief Minister (5k+ posts)
Wesay iss qadar shadeed garmi k rozon k liye Ulma ko koi fatwa dena chayey k kaun kaun say log rozay say mustasnah ho sktay hayn... specially wo jo open mayn mazdoori kartay hayn, unkay liye tou koi fatwa hona chayey...
 
mnalam49

Minister (2k+ posts)
har city ka alag timing hai aab yeh konsi city key leyey hai yeh bhi to bata detey...yahan manchester mein to 2:50 something hai sehri time
 
behzadji

Minister (2k+ posts)
Wesay iss qadar shadeed garmi k rozon k liye Ulma ko koi fatwa dena chayey k kaun kaun say log rozay say mustasnah ho sktay hayn... specially wo jo open mayn mazdoori kartay hayn, unkay liye tou koi fatwa hona chayey...

aisay rozay har 32 saal baad aatay hain.......pehli baar nahi ayay....!
 
Zesh Zeshu

Senator (1k+ posts)
Wesay iss qadar shadeed garmi k rozon k liye Ulma ko koi fatwa dena chayey k kaun kaun say log rozay say mustasnah ho sktay hayn... specially wo jo open mayn mazdoori kartay hayn, unkay liye tou koi fatwa hona chayey...

Kal ap fatwa ly k ajain ghay k Namaz 5 ziyada hain kam kar do
Phir ap nay khena k Rozay ziyada hain kam kar do and list goes on Roza Iman ka hota hy bhook ka nai ,logo ny tapray sehra main b rozay rakhay hain yeh to kuch b ni its all about Iman not Hunger Allah Hamien Hadiyat day Ameen
 
behzadji

Minister (2k+ posts)
Agar pehly kisi nay nahi socha tou abhi hi koi soch lay, doosra aisi garmi aur financial stress pehlay to nhi hoga jo aaj hay....

Allah itnay Kareem hain ke unhuon ne tau insaan ke rizq ka uss waqt bhi khayal rakha jab ussay oooon aaaaaan ke ilawa kuch nahi aata thaa....lambay rozay main kia wo aap ko akela chhor de ga....?

jo roohani taraqqi garmi ke rozay main milti hai wo sardi ke rozay se buhat ziada hai aur wo khaliq-e- haqiqi tau kafir ki mehnat bhi zaya nahi kerta.....

piyas ziada lagay tau 100 gram gulqand(rose reserve) main 10 gram sabz ilaichi(green cardemom) ka powder mix kar ke sehri ke waqt 1 chamach kha lain, piyas nahi lagay gi InshaAllah
 
Kavalier

Chief Minister (5k+ posts)
Sir apki baat theek hay k Allah kareem hay aur raheem hay, issi trha Islam bhi hamari asani chahta hay aur khud kehta hay k apni jan ko mushkil mayn na dalo.... mayn tou specially unn logon k liye keh raha hoon k jo mushkil haalat mayn hayn ya jinki mazdoori nahayat sakht hay aur wo bhi iss mosam mayn... I can remember k last year bhi bohat say log garmi say mar gaye thay aur ramadhan k hi din thay, shayad piyas lagi ho aur rozay say hon... Ya baqi logon k khayal say pani na pi rehay hon... jab sarkari tor pay declare kar diya jayega k aisay mazdoor rozay say mustsna hayn aur wo apni asani ko samnay rakhayn tou shayad kuch relief mil jaye ....

Yar mayn apki baat ko samj raha hoon lakin dekhayn k islam aik living religion hay aur ismayn ongoing changes aati rehni chayey as per time and era..... Abhi I am not saying k Rozay kam ya khatam kardo, I am saying k jin k liye aisay haalat mayn mushkil hay unko istasna day dayn takay wo log zehni aur socially relief mehsoos karayn....

Kal ap fatwa ly k ajain ghay k Namaz 5 ziyada hain kam kar do
Phir ap nay khena k Rozay ziyada hain kam kar do and list goes on Roza Iman ka hota hy bhook ka nai ,logo ny tapray sehra main b rozay rakhay hain yeh to kuch b ni its all about Iman not Hunger Allah Hamien Hadiyat day Ameen
 
Zesh Zeshu

Senator (1k+ posts)
Yar mayn apki baat ko samj raha hoon lakin dekhayn k islam aik living religion hay aur ismayn ongoing changes aati rehni chayey as per time and era..... Abhi I am not saying k Rozay kam ya khatam kardo, I am saying k jin k liye aisay haalat mayn mushkil hay unko istasna day dayn takay wo log zehni aur socially relief mehsoos karayn....
Ap ki bato ka sirf ik answer :) Roza Iman ka hota hy Bhook ka nai
 
Kavalier

Chief Minister (5k+ posts)
Yani mayn airf Iman rakhoon k roza hota hay aur rakhna chayey, ispay iman ho k roza aik ibadat hay aur islam mayn iski importance hay... lakin jab ramzan aaye to khata peeta rahoon kiyonkay bhook ka issay kiya talluq, iman tou hay na k roza islam ka hissa hay.... Kiya app yehi kehna chahtay hayn?

I know you are trolling but still would answer you Iman ko testify kia jata hy through defined parameters which defined by islam
 
Kavalier

Chief Minister (5k+ posts)
Chalayn theek hay, nahi discuss kartay aur aap jawab na dayn, kiyonkay jab daleel khatam hojaye tou dosray ki baat trolling lagti hay... I just wanted a healthy discussion but I guess you are the same pak studies and islamiyat minded as most of us are.... Khush raho...

I know you are trolling but still would answer you Iman ko testify kia jata hy through defined parameters which defined by islam
 
behzadji

Minister (2k+ posts)
Sir apki baat theek hay k Allah kareem hay aur raheem hay, issi trha Islam bhi hamari asani chahta hay aur khud kehta hay k apni jan ko mushkil mayn na dalo.... mayn tou specially unn logon k liye keh raha hoon k jo mushkil haalat mayn hayn ya jinki mazdoori nahayat sakht hay aur wo bhi iss mosam mayn... I can remember k last year bhi bohat say log garmi say mar gaye thay aur ramadhan k hi din thay, shayad piyas lagi ho aur rozay say hon... Ya baqi logon k khayal say pani na pi rehay hon... jab sarkari tor pay declare kar diya jayega k aisay mazdoor rozay say mustsna hayn aur wo apni asani ko samnay rakhayn tou shayad kuch relief mil jaye ....

wo rozay se nahi karachi main heat stroke aur medical treatment na honay ki wajah se maray thay aur wo ramzan ka mahina har giz nahi thaa....

yeh garmiyon ke rozay har 32 saal baad europe aur doosray lambay dinon waalay mulkon main aatay hain...

main bhee InshaAllah 19 ghantay waalay rozay rakhoon ga. bus ye baat yaad rahay ke baray kaam ka ajar bhi bara hota hay.....

waisay aam dinon main lunch 15 minute late ho jayay tau mushkil ho jata hay lekin ramzan main hamara auto-pilot system chalna shuroo ho jata hay aur saaray saal ki bimarian khattm ho jati hain.

Aap ne bhi yaqeenan mehsoos kia ho ga ke Eidul Fitr waalay din aksar log bimaar ho jaatay hain....khaanay ki wajah se na ke bhooka piasa rehnay ki wajah se........

waisay aap gulqand wala tip zuroor try kerain. mainne ussay pichhlay 2 saal se try kia hay...buhat hi effective hai
 
Kavalier

Chief Minister (5k+ posts)
Sahi hay , I will try your tip.... Where to find gulqand by the way? And where is this roza for 19 Hours? This means iftar aur sehar aik sath hi hota hoga...?????