Pakistan ky zawal ki wajha . Molana Tariq Jameel .

FreeCountry

MPA (400+ posts)
Pakistan Ke Zawal Ki Waja Khalayee Makhlooq Hai.

Where was Zaleel Sahrif when Noora Khabees was taking loans? Was he sleeping?

Truth is they sold Pakistan to China without having any follow-up plan. Now US/IMF is destroying our country and our economy.

Only we the awam will suffer. Zaleel Sahrif already left Pakistan. Noora Khabees will get the deal and leave also.
 

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
musalmaanu ke zawaal ki wajah sirf aur sirf aik hi hai aur woh hai deene islam ko chhor ker mazhab aur secularism ko apnaana. aur ye aaj ki baat nahin hai balkeh ye us waqt ki baat hai jab mumlikate khudawandi jo khudaa ke aakhiri nabi ne insaanu ko banaa ker di thi baad main aane waale musalmaanu ki naaqis kaarkardagi ki wajah se zawaal pazeer ho gayee.

us ke baad asal deene islam her tarah ke mazhabi aur secular tasawuraat main gum ho ker reh gayaa jo deegar ghairmuslim bahir se le ker aaye the. is liye keh jo log bahir se muslmaan hone ke liye mumlikate khudaawandi main aaye the un ki ye log drust tarbiyat hi na ker sake jaise paighambere khudaa apne waqt main karte the. log ahista ahista duniya ki rangeeniyun main pad ker deene islam ki asal taleem ko bhoolte gaye aur phir aik waqt aisa aa pohncha keh ummat ka shiraaza hi bikhar ker reh gayaa.

tab se le ker aaj tak ummat baraaye naam ummat banti gayee aur takde tukde hi hoti rahee mazhab aur secularism ke naam per hatta keh aaj is haalat ko pohnch gayee jo hamaare saamne hai.

agar logoon ko aaj phir ummat banane ka khayaal hai to aaj bhi un ke liye ummat banana mumkin hai is liye keh quraan aaj bhi apni ussi asli haalat main mojood hai magar shart ye hai log quraan se deene islam ko phir se theek tarah se samjhen aur apnaayen. jab tak log mazhab aur secularism ko seene se lagaaye rakhen ge deene islam ko woh quraan se samajh hi nahin sakte to apnaayen ge kia?

taqreeban sab khud ko musalmaan kehlwaane waalun ke deene islam ke baare main taqreeban sab ke sab tasawuraat hi ghalat hen. lihaaza un ko drust tasawuraat ki taraf lane ke liye sab se pehle un tasawuraat ko phir se discover karne ki zaroorat hai taa keh un ko dobaara jaan ker phir se apnaaya jaa sake. sirf aur sirf yahee tareeqa hai deene islam ko dobaara zinda karne ka.

56 Surah al Waqi ah Ayah 01 To 19
56 Surah al Waqi ah Ayah 20 To 40
56 Surah al Waqiah Ayah 41 To 57
56 Surah al Waqiah Ayah 57 To 74
56 Surah al Waqi ah Ayah 75 To 82
56 Surah alWaqiah Ayah 83 To End & 57 Surah alHadid Ayah 1To4
 
Last edited: