Motivation to perform good deeds be? Pleasing Allah or seeking Paradise?

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
jannat aur jahanam ka ziker quraan main baar baar ayaa hai magar woh hen kia? woh aik to issi duniya main insaani maashre se mutalqa baaten hen keh insaan apna maashra ya jananati banaate hen ya jahanami. doosra aage chal ker inhi kaamun ke mutaabiq un ko ya to inaam mile ga ya apni apni kerni ki sazaa. is duniya main jannat insaan apni madad aap ke teht mil jul ker apni mehnat se banaayen ge khudaa ke diye ge naqshe ke mutaabiq apna maashra banaa ker. magar aage chal ker jo jannat in ko di jaaye gi woh doosra inaam ho ga insaanu ke liye issi kaam ka. kyukeh unhune khudaa ka maqsad poora kerne ke liye kaam kiya ho ga.

is duniya main insaanu ka jannati maashra banaana insaanu ko khudaa ki taraf se diya gayaa maqsad hai. is ki wajah ye hai keh khudaa insaanu ko ye bataana chahta hai keh woh insaanu se bahot hi ziyaada badaa aalim hai. sirf aur sirf wohee jaanta hai keh insaan kaise is duniya main betareen zindagi guzaar sakte hen mil jul ker. issi liye quraan ko batore challenge pesh kiya hai keh agar tamhen apne ilm per itna hi naaz hai to zaraa quraan jaisi kitaab to le aao jis ki bunyaad per tum isse bhi behtar maashra banaa sako jo quraan main bataaya gayaa hai ya phir kam se kam is jaisa hi le aao. insaan aaj tak is ka jawaab nahin laa sake aur abhi tak aik doosre ka khoon ker rahe hen apni apni aik doosre per badayee saabit kerne ke chakker main.

ghamidi sb ko is baat ka ilm hi nahin hai keh quraan 100% science ki kitaab hai is liye keh khudaa ne insaanu ko peda hi scientists aur philosopher kiya hai. khudaa ne insaanu ko apni pooja paat ke liye peda hi nahin kiya hai balkeh is duniya main bade bade kaam kerne ke liye peda kiya hai. khudaa ne insaanu ko aazmaaish ke liye peda hi nahin kiya hai balkeh insaanu ko insaanu hi ke zariye apni kibrayee dikhaane ke liye peda kiya hai. jab insaan is intahaa ko pohnch jaayen ge to insaan khudaa ki khudayee se khush hun ge aur khudaa insaanu ki insaaniyat se khush ho ga. yaani dono hi aik doosre per naaz karen ge.

ghamidi sb bhi baaqi mullaan hi ki tarah sirf aur sirf aik mazhabi scholar hen. in ko nahin maloom insaani zabaan kia hai, ye kahaan se ayee hai is main kia kai processes ya mechanisms shaamil hen aur in sab ka aaps kia taaluq ya waasta hai aur in ka jaanana ham insaanu ke liye laaznmi kyun hai.
 
Last edited:

Mawali

Voter (50+ posts)
Probably both. But Isn’t religion a part of politics in our part of the world? How many political parties have the word Islam in them in pak?
True, and its unfortunate that it is difficult to separate religion and anything in Islam let alone in Pakistan. so point taken. However, on an individual basis for some of us who would like to keep the two separate ( because in essence they should be) then to have a forum whose name suggest Politics (Siasat) it comes across as being disingenous?
 

surfer

Chief Minister (5k+ posts)
True, and its unfortunate that it is difficult to separate religion and anything in Islam let alone in Pakistan. so point taken. However, on an individual basis for some of us who would like to keep the two separate ( because in essence they should be) then to have a forum whose name suggest Politics (Siasat) it comes across as being disingenous?
Actually there is a separate board on forum for religion, perhaps users should pay attention to upload to correct board...
 

khalid100

Minister (2k+ posts)
Actually there is a separate board on forum for religion, perhaps users should pay attention to upload to correct board...
Actually there is a separate board on forum for religion, perhaps users should pay attention to upload to correct board..
Admin: Is this a political form or religious?

Bhaio there is an Islamic Corner Lounge of this website and that's where it was posted.