Kalima e Tawheed Ka Maana

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
Ilaah ka maana mabood nahin hai. ilaah ka maana khudaa hai. lafze ilaah ka maada alif, laam aur haa hai. yeh khudaa ka naam us ki no ki wajah se hai. khudaa apni no ke ehtbaar se yakta hai quran ke mutaabiq. Allah khudaa ka zaati naam hai yani isme alam hai ye khudaa ka. mabood ka maada ain, baa aur daal hai aur is ka maani nisbat aur taaluq hota hai. khudaa aur makhlooq ke darmiyaan bahot si nisbaten aur taaluq hen yani relationships ya links ya connections. khudaa khaaliq hai aur us ki peda karda cheezen us ki makhlooq hen. khudaa haakim hai aur sab us ke mahkoom hen waghera waghera. yani sab munaasib nisbaten khudaa aur deegar ashyaa ke darmiyaan drust hen. yani jo khudaa ke asmaae husna hen woh sab khudaa ki kisi na kisi ehtbaar se nisbat hi ko zahir karte hen.

laa ilaaha illallaah ka maani hai Allaah ke siwaaye koi haakim nahin hai aur qanoon sirf aur sirf ussi ka hai her shai ke liye aur insaanu ko bhi sirf aur sirf ussi ka qanoon apnaana chahiye aur ussi ke mutaabiq rehna chahiye is duniya main taa keh insaan is duniya main aik behtareen zindagi guzaar saken aur aane waali behtareen zindagi paa saken.

Note: khudaa ka qanoon mullah ki khudsaakhta shariyat nahin hai.
 
Last edited: