Japanese Nojawan ka Qabool e Islam ka vakya

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
logoon ke qaboole mazhabe islam per beshumaar video hen aur yun hi log deegar mazaahib main bhi aate jaate rehte hen. khud mazhabi musalman bhi deegar mazaahib main jaate rehte hen aur baaz phir waapis aa jaate hen.

ye is liye ho rahaa hai keh log abhi us darja ka ilm haasil hi nahin ker sake keh woh deene islam aur mazhabo secularism main theek tarah se farq samajh saken aur farq ker saken. sab insaan hi issi liye bahot hi sakht uljhan main hen.

asal main her kisi ko apne roti paani yaani zarooriyaato lawaazmaate zindagi ki fiker hai. abhi woh ye baat hi nahin samajh paaye keh un ki ye fiker sirf aur sirf deene islam hi door ker sakta hai aur woh bhi yun keh logoon ne khud hi apni zarooriyaat poori kerni hen apni madad aap ke teht khudaa ke bataaye ke mutaabiq khud ko organise aur regulate ker ke.

ye masla na to khudaa ke aage rone dhone se theek ho sakta hai yaani duaaon aur cheekho pukaar ke zariye aur na hi khudaa ki jhooti tareefen kerne se. jin ko sun ker khudaa in ki haalten badal de.

mullaan ka haraami pan ye hai keh unhune khud quraan ko theek tarah se study hi nahin kiya hai to woh doosrun ko kia raasta dikhaayen ge jo khud andhe hen? ye haraami log her buri baat ko khudaa per daal dete hen.

agar koi mazoor peda huwa hai to kehte hen is ko khudaa ne mazoor peda kiya hai. halan keh ye sab insaanu ki khud apni hi ghalatiyun ki wajah se hota hai. aaj bhi dekh len keh insaanu ko kitni bimaariyan hen jin ko ham log moorsi kehte hen yaani khaandaani. yaani in main hamaare apne hi abaao ajdaad ka qasoor hai keh unhune khud ko laazmi ilm se jahil rakha aur aane waali nasloon ko bhi.

bilkul yahee kaam aaj ham bhi ker rahe hen. kia ham log nahin jaante keh moorsi bimaariyan hoti hen aur un se jahaan tak mumkin ho bachna chahiye? is ke bawjood ham bachun ki shaadiyan baghair in baatun ko jaane ker dete hen. jab un ke bache mazoor peda hote hen to ham kehte hen ye sab hamaare saath khudaa ne kiya hai. kitni gandi baat hai aisa kehna khudaa ke baare main kabhi kisi ne socha hai? kyun nahin socha?

insaan yahee haraami kaam hamesha se kerta aaya hai apni naadaani aur khud ko jahil rakhne ki wajah se aur aaj bhi yahee kaam jaari hai.

ham is baat ko samajhne ke liye tayaar hi nahin hen keh khudaa ne ye duniya apne kisi khaas maqsad ke liye banayee hai. ye maqsad main ne baar haa samjhaaya bhi hai magar majaal hai keh log in baatun ko samjhen aur apne bebunyaad haraami aqeedun aur amaal ko chhoren. in ko itni bhi soch nahin hai keh khudaa ki taraf bure kaamun ki nisbat drust nahin hai. is liye keh khudaa baar baar quraan hi main kehte hai woh kisi ke saath koi burayee nahin kerta aur yeh keh us ke saare naam achhe hen.

burayee khudaa ne peda hi nahin ki hai albatta jo cheezen khudaa ne peda ki hen un main ye ehliyat hai keh woh khud apni soch se achha karen ya bura. albata un ki apni marzi se ki hui buraaiyun ko khudaa ki taraf mansoob nahin kiya jaa sakta. khudaa ne insaanu ko peda kiya hai magar is liye nahin keh woh aik doosre ke saath buraaiyan karen. khudaa ne insaanu ko baar baar achhaiyan kerne ka kahaa hai aik doosre ke saath aur buraaiyun se baar baar roka hai.

woh kisi insaan se kisi doosre insaan ke saath zabardasi burayee nahin karaata. lihaaza haraami pan se baaz aao aur apna aqeeda khudaa ke baare main drust karo warna bhugto apne kiye ki sazaayen aik doosre ke haathun kyunkeh haraami pan ki sazaa to mil ker rahe gi. jo bhi jaane unjaane aag main gire ga us ko jalne se koi nahin bachaa sakta.

ye aqeeda hi ghalat hai keh insaanu ko khudaa ne aazmaaish ya imtihaan ke liye peda kiya hai. khudaa kis liye hamaara imtihaan le ga? hai koi khudaa ke baare main aisa aqeeda rakhna waala haraami jo is baat ka drust jawaab de sake? phir kyun aise ghalat aqeede apnaate ho khudaa ke baare main? kia ye aap ki jahaalat aur aap ke haraami pan ka saboot nahin hai aap ke khilaaf?

khudaa ne is kaainaat ki takhleeq apne maqsad ke liye ki hai aur woh maqsad hai us ka apni zaat ka izhaar jis ke liye us ne do tareeqe ikhtiyaar kiye hen 1)takhleeqe kaainaat aur 2)nazoole wahee. yahee wajah hai kaainaat aur wahee khudaa ki zaat ki mojoodagi ka pakka saboot hen insaanu ke liye jisse inkaar insaanu ke liye mumkin hi nahin hai dalaail ki bunyaad per. insaanu ko is liye peda kiya us ne taa keh woh khudaa ki zaat ke izhaar ka ilm ki roshni ki madad se mushaaida karen. yahee wajah hai insaanu ko khudaa ne bilkul hi anjaan peda kiya hai magar tamaam lawaazmaat de ker taa keh woh aisa ker bhi saken agar chahen to.

kaainaat hamaare saamne hai aur ham is ko study ker ke bahot kuchh jaan sakte hen. wahee is liye ham ko di hai taa keh ham khudaa ka maqsade takhleeq jaan saken aur us maqsad ko poora kerne ki fiker karen aur us ko apni mehnat se poora bhi karen.

khudaa chahta hai is duniya main us ke bande us ke diye ge naqshe ke mutaabiq us ki duniya ko set up karen aur maze uthaayen aur yun khudaa ki badhayee ke her taraf danke bajaayen. taa keh un ki is mehnat per khudaa bhi insaanu ki tareefun ke pul baandhe. yaani log khudaa ko shabaashi den aur khudaa logoon ko. yun dono aik doosre se khush hun. khudaa ne ye duniyaa aur is main insaan is liye peda nahin kiye keh sab aik doosre per laan taan karen yaani aik doosre ko gaaliyan den bajaaye aik doosre ki achhaayun ki waja se aik doosre ki tareefen kerne ke. For better understanding of deen of islam from the quran see HERE, HERE and HERE.

yaad rakhen keh quraan ke siwaa is duniya main aaj koi aik kitaab bhi khudaa ki mojood nahin hai. lihaaza issi ko theek tarah se samajhne ki poori poori koshish karo. aur phir khud is ko theek tarah se samjh ker doosrun ko samjhao. phir sab mil jul ker khudaa ki is mumlikat main aik behtareen ummat ban ker raho. idhar udher batakne se kuchh nahin ho ga.

youtube per khud ko musalmaan kehlwaane waale haraami logoon ke videos ki bharmaar hai jahaan woh keh rahen hen keh hindostan ke logoon per khudaa ne azaab naazal ker diya hai. in haraamiyun ko pata hi nahin keh khudaa kisi per kabhi bhi azaab naazal nahin kerta. ye logoon ke apne kiye ki nateeje hota hai jo kuchh un ke saath hota hai.

is baat ko samjho keh khudaa ne ye duniya apne maqsad ke mutaabiq set up ki hai is liye ye aik khaas tareeqe se kaam kerti hai. ye baat us ne ham ko bataa di hai. is duniya main agar insaan is tarah rahen ge jaise khudaa bataa rahaa hai to sab kaam theek rahen ge magar agar log apni apni marzi karen ge to un ke sab kaam hi baigard jaayen ge.

yoon samjhen keh aap ne aik foundary aur factory lagayee hai jis main bade bade kaam ki chaazen aap banaate hen aur yahee aap ka maqsad tha. ab sochen keh aap ki is factory aur foundary main kuchh nadaan log aa ge hen jo bila soche samjhe idhar udhar bhaag rahe hen ab is ka nateeja kia ho ga? yahee kuchh bewaqoof insaan is khudaa ki banayee hui duniya main ker rahe hen. jab un ko aisa kerne se koi nuqsaan pohnchta hai to bajaaye apni ghalati maanane aur khud ko aainda aise kerne se rokne ke utla khudaa ko zimmadaar thehraate hen.
 
Last edited:

Constable

MPA (400+ posts)

بھائی تجھے تو موقع چاہیئے کاپی پیسٹ مارنے کا

ا یک اور بھائی ہے تیرا
کراچی 1947, جس کی نو دس میل لمبی پوسٹ ہوتی ہے بلکہ پیسٹ ہوتی ہے
تھریڈ کوئی ہو، موضوع کچھ ہو اُس نے بھی اپنی ہانکنی ہوتی ہے
اللہ آپ حضرات کو ہدایت اور ہمیں آپ سے نجات دے۔ آمین
 
Last edited:

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
بھائی تجھے تو موقع چاہیئے کاپی پیسٹ مارنے کا

تیرا یک اور بھائی ہے
کراچی 1947, نو دس میل لمبی پوسٹ ہوتی ہے بلکہ پیسٹ ہوتی ہے
تھریڈ کوئی ہو، موضوع کچھ ہو اُس نے بھی اپنی ہانکنی ہوتی ہے
اللہ آپ حضرات کو ہدایت اور ہمیں آپ سے نجات دے۔ آمین

azeezam constable sb, kia aap ko roman urdu padhni aati hai? agar aati hai to aap apni samajh ke mutaabiq mujhe samjhaayen keh meri baaten thread ke unwaan se bahir kaise hen? aap ko agar post ki lambayee per ehtaraaz hai to aap ki ye baat bhi munaasib maloom nahin hoti. is liye keh main to apni soch samajh ke mutaabiq likhta hun aur kisi ko agar meri post kisi wajah se nahin padhni to ye us ka haq hai.

meri nazar main mazhab aur secularism ki tabdeeli koi badi baat nahin hai is liye keh isse kuchh bhi duniya main tabdeel nahin hota na hi ho sakta hai. albatta logoon ka mazhab aur secularism ke badle asal deene islam apnaana duniya ko tabdeel ker sakta hai. ye kaise ho sakta hai is ka jawaab aap ko meri deegar posts padhne se mile ga. magar agar aap ko lambi lambi posts padhne ki aadat nahin hai to phir main bhi aap ki koi madad nahin ker sakta is maamle main. khudaa ne bhi apni baaten insaanu ko samjhaane ke liye aik poori kitaab di hai insaanu ko to main to aik mamooli insaan hun.

regards and all the best.
 
Last edited: