Great islamic video for kids. Must watch for all family n kids.

karachiwala

Prime Minister (20k+ posts)
رافصیت کے سانچے میں فٹ نا ہو تو آپ اپنی کی باتوں سے مکر جاتے ہیں۔ میرا کام ہے آپ کو حسن سلوک یاد کرواتا رہنا۔ ملجمیوں نے حضرت علی کے اسوہ پر چلنا ہے یا فردوسی چاچو کے مرضی ان کی
یہ حضرت علی رضی اللہ تعالیٰ عنہ کے انہی اسوہ پر چلیں گے جو فردوسی نے سکھائیں ہیں۔
 

atensari

(50k+ posts) بابائے فورم
×
یہ حضرت علی رضی اللہ تعالیٰ عنہ کے انہی اسوہ پر چلیں گے جو فردوسی نے سکھائیں ہیں۔
فردوسی حضرت علی کے اسوہ پر کاربند ہوتا تو انہیں بھی سکھاتا
 

karachiwala

Prime Minister (20k+ posts)
×

فردوسی حضرت علی کے اسوہ پر کاربند ہوتا تو انہیں بھی سکھاتا
مزا مقبول بیگ بدخشانی اپنی کتاب ’’ادب نامہ ایران‘‘ میں شاہنامے کی تاریخی اہمیت کی طرف اشارہ کرتے ہوئے تلکھتے ہیں کہ شاہنامے میں بعض فوق العادہ واقعات کا ذکرآتاہے مثلاً طہورت کا دیوو7ں پر غلبہ پانا اور ان سے تیس زبانیں سیکھنا ،جمشید کا دیوؤں سے محمل تعمیر کرانا،ضحاک کے کندھوں سے سانپوں کا ابھرنا،زوال کا سیمرغ کی آغوش میں تربیت پایا وغیرہ۔ان غیر حقیقی واقعات کی وجہ سے بسا اوقات شاہنامے پر حرف غیری کی جاتی ہے۔اس سلسلے میں یہ بات نہیں بھولنی چاہیے کہ قدیم زمانے میں ایران کی کوئی مستند تاریخ موجود نہ تھی۔’’اوستا‘‘،’’خدائی نامک‘‘،یادگار زریران ‘‘اور ’’کارنامک اردشیر پایکان‘‘ ایسی کتابیں ضرور دستیاب ہوتی تھیں ،ان کتابوں میں قدیمی بادشاہوں کے حالات وواقعات درج تھےاور متعدد فوق العادہ اور غیر حقیقی باتیں ان سے منسوب کی جاتی تھیں۔فردوسی کو شاہنامے کی تیاری میں یہی تاریخی مواد میسر آیا،جسے اس نے جوں کا توں نظم کیا دیا۔​
 

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
duniya main agar koi sachi kitaab mojood hai to woh sirf aur sirf quran hi hai ya ho sakta hai aur woh is liye keh is kitaab ka dawa hai ye khudaa ki taraf se naazal ki gayee hai insaanu ko is duniya main saheeh tarah se jeena sikhaane ke liye.

baaqi sab kitaaben insaanu ki likhi hui hen jin main sach aur jhoot sab mixed yaani mila jula hai. yahee wajah hai quraan ki bunyaad ke baghair kisi bhi kitaab ki baatun ka pakka ehtbaar nahin kiya jaa sakta.

phir ye keh khud quraan ko theek tarah se samajhne ke liye aik shakhs ko insaani zabaan per kaafi had tak oboor haasil hona laazmi.

log to apni maan boli bhi nahin jaante. is maamle main her koi apna imtihaan khud le sakta hai. apni zabaan ki dictionary main dekhen kitne ilfaaz hen phir aap sochen aap ko un main se kitne maloom hen? lihaaza jin logoon ko khud apni maan boli per oboor haasil nahin hai woh khudaa ki kitaab ko kahaan tak samjhen ge?

zabaan main bhi pehle to cheezun ke naam darkaar hote hen. ab duniya main cheezun ki tadaad itni hai keh ham her shai ka naam jaanane se to rahe. isi tarah her aik shai ki her aik sift ka jaanana keh jisse maloom ho woh kia hai apni zaat main. phir ye keh her aik shai kerti kia hai? kaisi kerti hai, kab kerti hai, kyun kerti hai waghera waghera. phir ye keh cheezun ka apas main taaluq ya waasta kia hai aur kaise hai ya kyun hai aur kab se hai aur kahaan kahaan hai? waghera waghera. yahee nahin ham dekhte hen cheezen kabhi milti hen aapas main aur kabhi alag hoti hen aisa kyun hai ya kaise hai?

ye sab baaten agar ham saath milaa ker dekhen to maloom ho ga ham insaan abhi tak kuchh khaas ilm nahin rakhte kisi bhi shai ke baare main. albattaa afsos ki baat ye hai keh ham main se ziyaada tar log ilm seekhna bhi nahin chahte. woh apna waqt agar un ke paas kuchh baaqi ho zarooriyaate zindagi haasil kerne ke baad to us ko apne khail tamaashe aur sairo tafreeh main guzaar dete hen phir kehte hen ye duniya aisi kyun hai jis main ham insaanu ko asaaniyan ya aaramo asaaish haasil nahin hai.

woh is baat ko samajhne ki koshish hi nahin kerte keh duniya waisi hi ho gi jaisi ham insaan is ko banaayen ge. ab agar ham ko khud apne liye aik achhi duniya banaani hai to sab se pehle is ke liye ham ko aik behtareen naqsha banaana ho ga ya agar hamaare paas pehle hi mojood hai to us ko theek theek samajhna ho ga aur us ke mutaabiq is duniya ki tameer kerni ho gi tab ja ker ham ko woh kuchh mile ga jo ham khudaa se maangte hen. lihaaza ye bahot hi badi mehnat ka kaam hai magar karna ham insaanu ne hi hai. khudaa ne apna kaam ker diya hai apni kitaab ham ko de ker aur woh tamaam cheezen de ker jin ki ham ko ye sab kerne ke liye zaroorat thi. ab woh bhi intzaar ker raahaa hai keh ham insaan us ke diye ge naqshe per amal ker ke us ke mutaabiq kab tak insaani society ki amaarat tayaar kerte hen.

ye kaam hamaare khudaa ke aage zameen per ro ro ker naak se lakeeren banaane aur khudaa se ye kehne se nahin ho ga keh eh khudaaya too khud hi hamaare liye kaam ker de. is ke liye khud ham ko hi woh sab kuchh karna ho ga jisse is duniya main insaanu ke liye aik jannati yaani behtareen maashra ban jaaye. issi liye quraan ko theek tarah se samajhna az bas lazmi hai. For a detailed explanation of things about the quran, deen of islam and pakistan see HERE, HERE, HERE, HERE and HERE.
 
Last edited: