DESIRE , Baba Irfan-ul-Haq .

Amal

Chief Minister (5k+ posts)
علم کی قدر صرف عقل والے ہی کر سکتے ہیں
 

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
asal baat bunyaad ki hai keh her insaan ko apni zindagi kis thos yani pakki bunyaad per guzaarni chahiye.

ye baat teh hai keh insaan bila maqsad apni zindagi guzaar hi nahin sakta albatta masla maqsad ka hai keh woh hona kia chahiye.

ye pakka maqsad insaan ko sirf aur sirf khudaa hi de sakta tha aur us ne diya bhi hai apni wahee ke zariye.

ab agar log khud hi us ki wahee ko talaash na karen ya agar woh un ke paas hai magar woh us ko samajne ke liye kuchh na karen to bhi un ki zindagi waisi hi rahe gi jaise wahee ke haasil kiye baghair thi.

jaisa main baar baar kehta hun saheeh ilm jo insaan ko insaan banaa de woh lawaazmaate ilm ke baghair haasil ho hi nahin sakta lihaaza her insaan ko chahiye woh lawaazmaate ilm haasil kare ta keh us ko us ke jeena ka asal maqsad mil sake jo us ka is duniya main aana ba barkat ker de. For better understanding of deen of islam from the quran see HERE, HERE, HERE, HERE and HERE.

yaad rakhen bila maqsad jo koi jo kuchh bhi kare us ka woh nateeja nikal hi nahin sakta jo koi khaas maqsad poora kare. issi baat ki sab ko fiker kerni chahiye keh un ka qibla kidhar hai. warna logoon ka koi bhi qibla nahin ho ga ya her simt hi un ka qibla ho ga yani woh hamesha hamesha ujhan hi main rahen ge.

asal main khudaa ki ibaadat sirf aur sirf wohee fikro amal hai jo khudaa ke diye huwe maqsad ko poora kare warna sab bekaar.

is duniya main tarah tarah ki pareshaaniyun se nijaat ka aik hi tareeqa hai aur woh hai aikk aisa maashra tashkeel dena jo her aik ko pareshaaniyun se door rakh sake. albatta us maashre ki tameer tak to logoon ko phir bhi pareshaaniyan hi rahen gi. us ki takmeel ke baad us ko qaaim rakhne ke liye bhi logoon ko poori poori mehnat kerni pade gi ta keh woh un ko musalsal pareshaaniyun se door rakh sake warna wahee per mabni maashra khatam pareshaaniyan waapis.

 
Last edited: