BLACKWATER Xe & ISRAELI MOSSAD - kya humen larwaya ja rha hai?kya hmary darmian mojud nafrat aik saa

Bombaybuz

Minister (2k+ posts)
Re: kya humen larwaya ja rha hai?kya hmary darmian mojud nafrat aik saazish hai?

kesi haad tak kah saktey hain kiyon k ANP sai MQM ka koe issue hai he nahi asa k jo jeena marna ban jaye kesi aik party ka leya division hai city ki kesi had tak lakin woh hamesha sai he thi .. yakeenan land grabbing ka bhe kuch masley hain lakin woh bhe apney apney area's tak he hain basically tab phir ya he nazar aata hai ka yakeenan koe posheeda hath hai jo dono parties ka seeng phansaye rakhna chahata tha lakin just forign elements kah ka PPP k role ko minus nahi keya ja sakta.... Amman committee's ka maqsad door door tak bhe aman nahi hai...
 

pakistani 86

Politcal Worker (100+ posts)
Re: kya humen larwaya ja rha hai?kya hmary darmian mojud nafrat aik saazish hai?

kya ye ajeeb bat nhn hai k raymond pakra jata hai to aik dam mulk ki fiza sakun mein aa jati hai kahin koi bomb blast sunai nhn deta kahin koi dehshat gardi ki sada buland nhn hoti lkn jesy he raymond scene se out hota hai to wapis wohi kahanian samny any lagti hain.karachi mein itny massive scale pe qatl o gharat shuru hoti hai or aik he din mein 87 logon ko ibratnaak mot mil jati hai.chalti buses pe attack hony lagty hain or in my humble opinion itna organized massacre aik organized army he kr sakti hai mera shak is lye b mazboot hota hai k aik he waqt mein almost pury karachi mein different areas mein ye kaam shuru ho jata hai or dono atraf se sophisticated weapons use kiye jaty hain.may be ye aik qayas he ho lkn is khayal ko yaksar ghalat keh dena b thek nhn ho ga.
or aik or bat kya taliban or blackwater mein koi taluq ho sakt hai???????
asy he aik sawal aya hai zehan mein agar koi is pe bat kr saky to............