Beautiful recitation of Qasida Burda Sharif

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
khud ko musalmaan kehlwaane waalun ko chahiye keh woh apna laazmi zarooriyaate zindagi se bacha khucha saara waqt koshish karen keh quraan ko theek tarah se samajhne ki koshish main hi sarf karen.

ye is liye taa keh asal deene islam ki musalmaanu ko theek tarah se samajh aa jaaye. quraan ko samajhna is liye laazmi hai taa keh is ki roshni main deegar sab baatun ki bhi saheeh tarah se samajhne main madad mil sake. yaad rakhen quraan ke siwaa insaanu ke paas koi thos bunyaad hai hi nahin kisi bhi shai ko theek tarah se samajhne ke liye.

yahee wajah hai hamaari hamdo sanaa yaa naat goi drust hai ya ghalat ham ko maloom hi nahin hai. jin baatun ko ham khudaa rasool ki tareef samajh ker kerte hen mumkin hai un main un ki beadabi hoti ho kyunkeh un main un ki tazheeq ho.

yahee maamla hamaari filmun aur draamun ka hai. ham insaanu main ghalat baatun ko drust samajh ker phelaate hen. ye issi liye kyunkeh ham ne quraan ko aik taraf rakh ker apne apne zehni khayalaat ko deene islam samjha huwa hai. yahee waja hai hamaari hamden aur naaten bhi ghalatiyun ka planda hoti hen. For a detailed explanation of things about the quran, deen of islam and pakistan see HERE, HERE and HERE