her woh shakhs jo asal deene islam se naawaaqif hai aisi hi betuki baaten kerta hai. behtar hai asal deene islam ko jaano aur phir baat karo. asal deene islam kia hai? See HERE.
insaanu ki likhi hui kitaabun ke hawaale kisi kaam ke nahin agar woh kisi thos bunyaad per mabni nahin hen.
asal deene islam ki asal kitaab quran hai aur baaqi sab kitaaben agar quran ki baatun ke mutaabiq hun to theek hen warna nahin.
ab masla ye hai keh her koi jo khud ko musalmaan kehta hai woh kehta hai meri kitaab ka hawaala quran ke ain mutaabiq hai. yahaan se aik aur masla peda ho jaata hai keh kis ki qurani samajh drust hai ya drust ho sakti hai? is sawaal ka drust jawaab kia hai ya kia ho sakta hai? yahee keh quran ko theek tarah se samajhne ka bhi to koi na koi drust tareeqa ho ga ya hona chahiye. woh kia hai? woh tareeqa aap ko diye ge link main mile ga. agar aap ke paas isse behtar koi tareeqa ho to bataayen aur saabit karen keh woh tareeqa theek tarah se kaam kerta hai.
rahee baat mojzaato karamaat ki to ye aqeeda sire hi se ghalat hai. ye kyun ghalat hai is ke baare main jawaab diye ge link main aap ko mil jaaye ga.
insaan ke paas agar khudaa ki di hui koi sab se badi nehmat hai to woh aqal hai. aqal aik hathyaar hai jis ko insaan istemaal ker ke bahot kuchh seekh sakta hai. albatta bahot se log jaanwar hi reh jaate hen kyunkeh woh khudaa ki di hui is nehmat yani aqal ko istemaal hi nahin kerte ya utna istemaal nahin kerte jitna unhen kerna chahiye. issi liye insaani shakal ke jaanwarun ne is duniya ki ye haalat banayee hui hai jo hamaare saamne hai.
asal baat samajhne ki ye hai keh khudaa ne insaan ko kis maqsad ke liye peda kiya hai aur woh maqsad insaan poora kaise ker sakta hai. aur ye keh kia khudaa ne jis maqsad ke liye insaan ko peda kiya hai us ke liye us ko lawaazmaat bhi diye hen?
mullaan ko chahe woh kisi bhi mazhab ya firqe ke hun in baatun ka ilm hi nahin hai. un ka maanana hai khudaa ne insaanu ko pooja paat ke liye peda kiya hai ya phir aazmaane ke liye peda kiya hai aur ye dono baaten hi ghalat hen. is liye keh isse khudaa ki zaat per harf aata hai jis ki tamaam sifaat khoob hen na keh qaable ehtaraaz.
lihaaza asal deene islam ko jaanane ki koshish karo aur mullaan ke peechhe chal ker apni zindagiyan barbaad mat karo.