Abid Andleeb - لائن آف کنٹرول سے براہ راست جھڑپیں، شیلنگ جنگ ایک نئے دور میں داخل لوکل مجاہدین نے محاذ سنبھال لئے

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
Shah mehmood quraishi sb ke kehne ka matlab wohee hai jo woh pehle bhi bataa chuke hen. yani jab jang per pakistan ko majboor kiya gayaa to phir ye jang mamooli noiyat ki nahin ho gi balkeh dono mulkun ki destruction ho gi. albatta agar jang karni hi padi to phir pakistan peechhe nahin hatte ga.

asal baat pakistan ka jang se guraize ka nahin hai balkeh is haalat main jang ke right ka hai. kia duniya ki nazar main pakistan ko right haasil hai keh woh india ke is qadam ki wajah se jo us ne uthaaya hai india per yakdam hamla ker de?

issi liye UN ko involve kiya jaa rahaa hai aur karna bhi chahiye. ye sirf aur sirf pakistan ka masla nahin hai baaqi duniya ka bhi hai. haan jab sab laazmi iqdamaat uthaa chuke hun to phir hamaari marzi hai ham jo chahe karen india ke saath kashmir ke masle per.

issi liye muqbooza kashmir ke logoon ko bhi UN ko bataana zaroori hai keh woh ab india ko chhor ker pakistan ke saath hen. is liye keh jo kuchh bhi ham karen ge duniya ke saamne hamen us ko justify karna ho ga. lihaaza hamen koi aisa qadam nahin uthaana chahiye jis ko ham kal duniya ke saamne justify na ker saken.

india aaj takleef main kyun hai? issi liye keh us ko issi duniya ke saamne jawaab dena pad rahaa hai. duniya bhar ke log india ke khilaaf is liye nahin ho rahe keh woh hamaare saathi hen balkeh is liye keh woh ghalat ko ghalat aur saheeh ko saheeh kehne per majboor hen. warna woh is duniya main reh kaise sakte hen agar duniya ke agreed qanoon aur zaabte follow na kiye jaayen?
 
Last edited: