‘‘کیا علما کا کاروبار کرنا دینی لحاظ سے قابل اعتراض ہے؟‘‘

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
deene islam main insaanu ke apne banaaye huwe nizaam yaani malukiyati nizaam, sarmayadaari nizaam aur mullaiyati nizaam sire hi se haraam hen keh ye baaz insaanu ke doosre insaanu ke istehsaal kerne ke tareeqe hen. quraan main khudaa ne aise her tareeqe aur us per mabni her kaam ko haraam kiya hai jisse insaan aik doosre ka istehsaal karen ya aik doosre ko nuqsaan pohnchaayen apne apne zaati faaidun ke liye.

deene islam main kaaro baar ka matlab ummat ke logoon ke kerne waale kaam hen jin se sab ummat ke logoon ki zindagiyan jannat ban jaayen na keh haraami pan dikhaane waale tareeqe banaana aur un per chal ker aik doosre ki zindagiyun ko jahanam banaana. deene islam main hukamraan, sarmayadaar aur molvi sire se mojood hi nahin hen aur nah hi koi aur istehsaali mechanism yaani tareeqa ya nizaam hi hai. ye ummat ka nizaam hai jo aik bahot badaa khaandaan ya qabeela hai jis per sirf aur sirf khudaa ki hukamraani hai. is main sab log ikathe ho ker sab baatun ka faisla khud kerte hen khudaa ki kitaab aur ummat ki her zaroorat ko saamne rakh ker musallam haqaaiq ki roshni main. phir ummat khud hi sab ke zimme kaam lagaati hai jo kerne waale hun aur yun sab log apne apne kaam main lag jaate hen ummat ki tamaam zarooriyaat ko poora kerne ke liye.

ye aisi hi baat hai jaise aik ghar main log apna apna kaam mil jul ker baant lete hen aur phir her koi apne apne hisse ka kaam kerta hai is bunyaad per keh woh khudaa ka karinda hai aur khudaa ke liye kaam ker rahaa hai. is kaam ke liye us ka kissi per koi ehsaan nahin hai. issi ka ajar dohra hota hai. aik sab ki zaroorten munaasib tareeqe se poori ho jaati hen baa izzat tor per aur doosra is per khudaa ki taraf se aage chal ker bhi inaamaat hun ge.

issi islam ka duniya bhar ke logoon ko intazaar hai jis main un ki zindagiyan jannat ban jaayen gi aur her jaga doodh aur shehed ki nehren bahti nazar aayen gi khudayee riyaasat main aur her aik ko her jaga se izzat ka rizq mile ga. ulbatta log is islam se waaqif hi nahin hen. agar khud ko musalmaan kehlwaane waale asal deene islam ke khilaaf apna haraami pan na dikhaate to deene islam aaj duniya bhar main naafiz hota. issi haraami pan ki aaj tak khud ko musalmaan kehlewaane waalun ko aik doosre ke haathun sazaa mil rahee hai aur milti hi rahe ge jab tak ye log asal deene islam ka suraagh nahin lagaa lete aur us per amal peraa nahin ho jaate.

ye islam jis ke peechhe khud ko musalmaan kehlwaane waale chal rahe hen, hukamraanu, sarmayadaarun aur mullaan ka man gharat islam hai jis ko deene islam ka naam diya gayaa hai. is islam ne na pehle kabhi kisi ummat ko kuchh diya hai na kabhi aainda hi de ga. is ne agar di hai to insaaniyat ko apne jaraaim ki sazaa hi di hai hamesha aik doosre ke haathun se aur yahee sazaa aaj is baraaye naam musalmaan ummat ko mil rahee hai. lihaaza is ravish se toba karo aur khudaa ke asal deene islam ko talaash karo. kia aap log is qadar jahil ho keh aap itna bhi nahin soch sakte keh agar koi kaam ghalat bunyaad ya tareeqe ke mutaabiq karo ge to woh drust ho hi nahin sakta?



 
Last edited:

There is only 1

Chief Minister (5k+ posts)
غامدی کی جاہلیت کی کوئی حد نہیں
.. . . . .
صرف علما ہی ہیں جو کسی کی نوکری نہیں کرتے بلکے رزق کمانے کے وہ طریقے لوگوں کو بتاتے ہیں جو لوگ نہیں جانتے
.
ہاں اپنے جسم کو حرکت میں ڈالنے کے لئے کوئی مشقت کریں تو ان کی مرضی
 
Last edited:

Bubber Shair

Chief Minister (5k+ posts)
غامدی کی جاہلیت کی کوئی حد نہیں
.. . . . .
صرف علما ہی ہے جو کسی کی نوکری نہیں کرتے بلکے رزق کمانے کے وہ طریقے لوگوں کو بتاتے ہیں جو لوگ نہیں جانتے
.
ہاں اپنے جسم کو حرکت میں ڈالنے کے لئے کوئی مشقت کریں تو ان کی مرضی
محترم،،،، درس نظامی کا سرٹیفیکیٹ لے کر انہیں نوکری دے گا کون؟ ویسے بھی مولوی لوگ تھوڑے نازک طبع ہوتے ہیں ان کو مزدوری کرنے والا جسم نہیں ملا ہوتا
رہی بات رزق کمانے کے طریقوں کی تو مولوی سے ہزار گنا زیادہ طریقے تو انٹرنیٹ پر مل جاتے ہیں ، کھانا پکانے سے لے کر سٹاک ایکسچینج میں سرمایہ کاری تک ہر انفارمیشن بھری پڑی ہے
 

There is only 1

Chief Minister (5k+ posts)

محترم،،،، درس نظامی کا سرٹیفیکیٹ لے کر انہیں نوکری دے گا کون؟ ویسے بھی مولوی لوگ تھوڑے نازک طبع ہوتے ہیں ان کو مزدوری کرنے والا جسم نہیں ملا ہوتا
رہی بات رزق کمانے کے طریقوں کی تو مولوی سے ہزار گنا زیادہ طریقے تو انٹرنیٹ پر مل جاتے ہیں ، کھانا پکانے سے لے کر سٹاک ایکسچینج میں سرمایہ کاری تک ہر انفارمیشن بھری پڑی ہے

آپ جن کا ذکر کر رہے ہیں وہ علما نہیں بلکے فراڈیے ہیں