کیا عورتوں پراللہ نے مردوں کے مقابلے میں زیادہ کام لازم کیئے؟

stargazer

Chief Minister (5k+ posts)
Maulana sahib vo Allah say shikayat naheen ker rahee aap say pooch rahee hai hain.
Maulana sahib kabhee shoharon ko lecture bhe diya hai!
 

Majid Sheikh

MPA (400+ posts)
جن لوگوں نے مذہب کو ایک طرف رکھا، وہ عورت اور مرد کی بحث سے ہی نکل گئے، ان کے ہاں عورت بھی مرد کی طرح انسان ہے، عورت مرد کے ساتھ معاشرے کی تشکیل اور ترقی میں برابر کا کردار ادا کرتی ہے جبکہ ہم ابھی تک اسی بحث میں الجھے ہوئے ہیں کہ عورت کو کیا کرنا چاہیے اور کیا نہیں کرنا چاہیے۔، آج بھی ہمارے معاشرے میں عورت کی زندگی کے فیصلے مرد کرتا ہے، ملک کی آدھی سے زیادہ آبادی عورت ہے اور اسی کو کھڈے لائن لگا رکھا ہے اس معاشرے نے کیا خاک آگے بڑھنا ہے۔۔
 

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
ye molvi sb apni mohn boli behn per kufar ka fatwa lagaa rahe hen usse nikah ki tajdeed ka mashwara de ker.

main in molvi sb ki bahot si baaten kufari saabit ker sakta hun, kia ye apne nikah ki tajdeed karte rahen ge umar bhar? ye molvi sb mazhabi zehniyat ke maalik hen to kia ye deene islam ke khilaaf nahin hen? yakeenan hen magar apni kam ilmi ki wajah se jaan boojh ker nahin.

kaamil ilm sirf aur sirf khudaa ki zaat ka hai, kisi insaan ka ilm kabhi bhi kaamil ho hi nahin sakta. doosre lafzun main koi aik insaan bhi kabhi khudaa nahin ban sakta to phir us ka ilm kaamil kaise ho sakta hai?

jab insaanu ka ilm naaqis hai to phir un se ghalati to ho gi. lihaaza is qisam ki baatun se aise logoon ko baaz rehna chahiye ta keh logoon main khwamkhwaa uljhanen peda na hun.

deene islam main her kisi per utni hi zimmadari hai jitni keh khudaa ne kissi insaan ko ehliyat di hai, chahe woh mard ho ya aurat. bahot si aurten bahot se mardun se ziyaada ehliyat rakhti hen aur bahot se mard bahot si auratun se ziyaada ehliyat rakhte hen. tamaam insaan baraabar nahin hen. na sab mard aik jaise hen na sab aurten.

mard aur aurat dono ko apna apna kaam karna hai ummat ka member hone ki hesiyat se jo ummat un ke liye taayun kare. ummat main mard aur aurten sab shaamil hen aur ye faisla sab ne mil ker kerna hai keh ummat ko kia kia masaail darpesh hen aur ummat ko kia kia kerne hai aur kaise kerna hai ta keh ummat ke darpesh masaail hal kiye jaa saken. issi liye na mard aurtun ki zimmadariyan aur haqooq ghalat tareeqe se teh ker sakte hen na auraten mardun ki zimmadariyan aur haqooq ghalat tareeqe se teh ker sakti hen. agar log aisa karen ge to ummat toot phoot jaaye gi agar mojood ho gi aur agar mojood hi nahin ho gi to ban nahin paaye gi. is liye keh nuqsaandeh nizaam ko kon pasand kare ga?

yahee wajah hai log ahista ahista mullaiyta aur malukiyat se azaad ho rahe hen aur deene islam ki taraf aa rahe hen magar unjaane se. abhi sarmayadari nizaam ka yahee anjaam hona baaqi hai khud logoon hi ke haathun. jo shayad bahot door nahin hai.

logoon ko chahiye woh khud padh likh ker aqlo fiker se kaam len aur mullah ke peechhe na bhaagen warna zillato ruswayee ke siwaa kuchh haath nahin aaye ga. sab se badi zillat ye hai keh jab tak log mullah ke peechhe bhaagen ge kabhi ummat nahin ban paayen ge. aur jab tak log ummat nahin banen ge in ke masaail ka koi munaasib hal mumkin hi nahin hai. lihaaza log aik doosre ke haathun zaleelo khawaar hote hi rahen ge. For a detailed explanation see HERE.
 
Last edited: