کتنی اعتدال پسندی سے نور اور بشر کا مسئلہ بھی حل کردیا کہ نبیۖ نور تھے یا بشر ڈاکٹر اسرار احمد رحمہ الله

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
baat bahot seedhi saadi hai. Allah taala ye farmaa rahaa hai, insaan kaamil insaan tab banta hai jab woh duniya aur deen ka ilm haasil ker leta hai munaasib had tak.

sawaal peda hota hai duniya ka ilm insaan kaise haasil kerta hai aur deen ka ilm kaise haasil kerta hai? duniya ka ilm woh duniya ki mojood cheezun ke saath tajarbaat se guzar ker haasil kerta hai. yeh ilm us ko khudaa ka ehsaas to peda ker sakta hai magar us ki taraf poori tarah se rahnumayee nahin ker sakta issi liye insaan ko khudaa ki wahee ki zaroorat padti hai. yahee woh rooh hai jo khudaa ne insaan ko ataa ki hai. khud insaan do cheezun ka mujmua nahin hai. ye aqeeda bebunyaad hai keh insaan jism aur rooh ka majmooa hai.

dr israr sb maroom bhi dr hone ke bawjood aik had tak kam ilm mullah ko hi follow kerte rahe deen ke maamle main.

ye baat aik haqeeqat hai keh ibtadaa main zindagi mojood nahin thi magar jab se Allah taala ne zindagi ko peda farmaaya hai tab se zinda ashyaa ko zinda ashiyaa hi se peda kiya hai.

lihaaza zindagi her zinda shai main mojood hoti hai magar consciousness sirf unhi cheezun main hoti hai jin main dimaagh ho. phir dimaagh bhi cheezun ke yaksaan noiyat ke nahin hote. sab se ziyaada conscious dimaagh insaanu main paaye jaate hen aur kisi shai main nahin.

insaani bacha jab maan ke pait main hota hai to zinda to hota hai magar ibtadaa main woh conscious nahin hota is liye keh conscousness ke liye us ke paas dimaagh nahin hota. jab dimaagh ban jaat hai aik had tak tab bacha qadre conscious hona shuroo ho jaata hai. issi baat kologoon ne rooh tawasawur kiya huwa hai, jo keh ghalat baat hai.

Allah taala sone ko bhi maut ke saath tashbeh deta hai is liye keh mare huwe insaan aur soye huwe insaanu main consciousness waisi nahin hoti jaisi zinda aur jaagte insaanu main hoti hai. For a detailed explanation of things about the quran, deen of islam and pakistan see HERE, HERE,
HERE, HERE and HERE.