والدین کا ادب و احترام اس قدر ضروری ہے

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
islam deen hai mazhab nahin hai.

deen ka bunyaadi taqaaza hai keh log sab se pehle ummat banane ki poori poori koshish karen quraan ki bunyaad per phir khudaa ki mumlikat main us ka qanoon naafiz kerne ki poori poori koshish karen poori tarah quraani hidayat ke mutaabiq, aur jab aisi mumlikat wajood main aa jaaye to phir us ko achhi tarah se qaaim rakhne ke liye apni taraf se poori poori koshish karen apni khudaadaad ehliyat ke mutaabiq.

deene islam ki baaqi sab baaten issi tanaazur main dekhni chahiyen, kyun?

is liye keh koi aik insaan bhi tane tanhaa is duniya main kuchh bhi nahin hai. her jaandaar shai ko dekho khud ko geroh ki soorat main mehfooz kiye huwe hai. lihaaza insaan agar ummat nahin banen ge to mehfooz nahin reh saken ge.

insaanu main sirf rishte baraadari ki bunyaad per kaam nahin chal sakta balkeh un ko aapas main jur ker rehne ke liye kisi khaas nazriye ki zaroorat hai. yahee kami poori kerne ke liye insaanu ko deene islam diya gayaa hai. ta keh woh sab mil ker kaam karen aur is duiniya main achhi tarah se rehne ke liye aik doosre ki bharpoor madad karen.

mullah ki kam ilmi ye hai keh ye log poori baat ko samajhne ki koshish hi nahin kerte aur yun idhar udhar ki haankte rehte hen jisse logoon ka waqt barbaad hota hai. is liye keh log mullah ki ghulaami main apni zindagiyan guzaar dete hen magar un ko deene islam ka woh ilm haasil nahin ho paata jo un ko haasil hona chahiye.

logoon ko Allah taala ne aqal di hai lihaaza un ko khud sochna chahiye aakhir woh mullah ki ghulaami main apna waqt kyun zaaya ker rahe hen. For a detailed explanation of things about the quran, deen of islam and pakistan see HERE, HERE,
HERE, HERE and HERE.
 
Last edited: