نہج البلاغہ قول نمبر ١٢٦

There is only 1

Chief Minister (5k+ posts)
مجھے تعجب ہوتا ہے بخیل پر کہ وہ جس فقرو ناداری سے بھاگنا چاہتا ہے ,ا س کی طرف تیزی سے بڑھتا ہے اور جس ثروت و خوش حالی کا طالب ہوتا ہے وہی اس کے ہاتھ سے نکل جاتی ہے وہ دنیا میں فقیروں کی سی زندگی بسر کرتا ہے اورآخرت میں دولت مندوں کا سا اس سے محاسبہ ہوگا

,اور مجھے تعجب ہوتا ہے .متکبر و مغرور پر کہ جو کل ایک نطفہ تھا ,اور کل کو مردار ہوگا

.اور مجھے تعجب ہے اس پر جو اللہ کی پیدا کی ہوئی کائنات کو دیکھتا ہے اورپھر اس کے وجود میں شک کرتا ہے

اور تعجب ہے اس پر جو مرنے والوں کو دیکھتا ہے اور پھر موت کو بھولے ہوئے ہے

.اور تعجب ہے اس پر کہ جو پہلی پیدائش کو دیکھتا ہے اور پھر دوبارہ اٹھاءے جانے سے انکار کرتاہے

اور تعجب ہے ا س پر جو سرائے فانی کو آباد کرتا ہے اور منزل جاودانی کو چھوڑ دیتا ہے .

نہج البلاغہ قول نمبر 126
 
Citizen X

President (40k+ posts)
how's that fabricated?

it is logical

he gave a reference, you can check
Reference of what? Nahj Al Balagha? A book written by some shia claiming to be related to one of their Imams and that also 300 years after the passing of Hazrat Ali r.a.

In this modern age of record keeping it is hard to verify and authenticate things 100 years ago, so you can imagine in Arab culture, mostly a verbal culture where the Musaf itself was not put in to a standard book form which we know today until Hazrat Usman r.a. did so.

You expect me to believe almost 250 speeches, 80 letters and 500 saying of Hazrat Ali r.a were preserved flawlessly for 300 years to be compiled into a book.

Sorry not buying that manjan.
 
Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
مجھے تعجب ہوتا ہے بخیل پر کہ وہ جس فقرو ناداری سے بھاگنا چاہتا ہے ,ا س کی طرف تیزی سے بڑھتا ہے اور جس ثروت و خوش حالی کا طالب ہوتا ہے وہی اس کے ہاتھ سے نکل جاتی ہے وہ دنیا میں فقیروں کی سی زندگی بسر کرتا ہے اورآخرت میں دولت مندوں کا سا اس سے محاسبہ ہوگا

,اور مجھے تعجب ہوتا ہے .متکبر و مغرور پر کہ جو کل ایک نطفہ تھا ,اور کل کو مردار ہوگا

.اور مجھے تعجب ہے اس پر جو اللہ کی پیدا کی ہوئی کائنات کو دیکھتا ہے اورپھر اس کے وجود میں شک کرتا ہے

اور تعجب ہے اس پر جو مرنے والوں کو دیکھتا ہے اور پھر موت کو بھولے ہوئے ہے

.اور تعجب ہے اس پر کہ جو پہلی پیدائش کو دیکھتا ہے اور پھر دوبارہ اٹھاءے جانے سے انکار کرتاہے

اور تعجب ہے ا س پر جو سرائے فانی کو آباد کرتا ہے اور منزل جاودانی کو چھوڑ دیتا ہے .

نہج البلاغہ قول نمبر 126

azeezam there is only 1 sb, koi aisa thread kholen jis main aap sab se pehle apne khayalaato nazriyaat ke drust hone ki koi thos bunyaan bataayen. ab aap ye nahin kahiye ga keh bunyaad quraan hai, hadis hai ya taareekh hai waghera waghera. is liye keh in main se her aik main ikhtilafaat mumkin hen jab tak keh in main mojood maloomaat ko kisi pakki bunyaad ke mutaabiq na parkha jaaye.

agar aap ko maloom na ho to main ne jo kuchh bayaan kiya hai is baare main usse faaida utaayen. behrhaal aap jaisa munaasib samjhe karen. agar aap ki bunyaad ya pemaana behtar huwa to main aap ka pemaana apnaa loon ga. aap apna pemaana saamne to laayen. ghabraane ki koi baat nahin hai is liye keh yaa to main aap se kuchh achhi baaten seekhun ga yaa aap mujh se. For better understanding of deen of islam from the quran see HERE, HERE, HERE, HERE and HERE.
 
آپ سے میں نے پہلے بھی عرض کی تھی کہ بجائے ایک دوسرے کا عقیدہ پوچھنے کے ہمیں ایک دوسرے سے سوالات پوچھنے چاہیں ، جس کا طریقہ درست ہو گا اس کے جوابات بھی درست ہوں گے یہاں تک کہ دوسرا اس پر کوئی سوال یا اعتراض نہیں کر پائے گا
. . . . . .
خیر ابھی کے لئے آپ رومن اردو کی بجائے اردو رسم الخط میں اردو لکھئے کیونکہ یہ طریقہ بہتر ہے اور آپ بہتر طریقہ اپنانے کا وعدہ کر چکے ہیں
 
There is only 1

Chief Minister (5k+ posts)
Better than being Munkir e Islam Kafir, ghustakh e rasool and ahle bayt and worshipper of 12 gods like you! ?
I really like your comments in which you declare yourself Munkir e Hadith, but please do not qoute me for your stupid arguments. I never want to talk to you because you are kafirah.
?
 
Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)

آپ سے میں نے پہلے بھی عرض کی تھی کہ بجائے ایک دوسرے کا عقیدہ پوچھنے کے ہمیں ایک دوسرے سے سوالات پوچھنے چاہیں ، جس کا طریقہ درست ہو گا اس کے جوابات بھی درست ہوں گے یہاں تک کہ دوسرا اس پر کوئی سوال یا اعتراض نہیں کر پائے گا
. . . . . .
خیر ابھی کے لئے آپ رومن اردو کی بجائے اردو رسم الخط میں اردو لکھئے کیونکہ یہ طریقہ بہتر ہے اور آپ بہتر طریقہ اپنانے کا وعدہ کر چکے ہیں

azeezam there is only 1 sb, sab se pehle maazrat ke saath main aap se ye arz ker dun keh main urdu keyboard main mahaarat nahin rakhta. aap hi nahin baaz deegar hazraat ne bhi mujh se yahee baat kahee hai. ye aap meri mazoori aur majboori samajh len.

aap per koi qaid nahin hai aap agar sawalo jawab ke andaaz se apna moqif behtar bayaan ker sakte hen to bhi theek hai. maqsad to aik doosre se seekhna hai keh ham kahaan khade hen aur us main sachayee ka kia saboot hai . albatta baat aap bunyaad se shuroo karen. maslan khudaa ke baare main aap ke haan kia tasawur hai aur kyun hai. aap ke khayaal main khudaa ne ye duniya kis maqsad ke liye banayee hai aur insaanu ko anjaan kyun peda kiya hai.

aap is duniya ko maadi samajhte hen ya ghair maadi? agar duniya maadi hai to phir jo kuchh bhi is duniya main wajood rakhta hai woh ghair maadi kaise ho sakta hai? agar maadi hai to woh physical laws ke mutaabiq hi ho ga un se bahir kaise ho sakta hai? mojzaat ya jaadu waghera meri soch ke mutaabiq mumkin nahin hen.

aur ye keh aap ke haan islam deen hai ya mazhab aur deen ya mazhab se aap kia muraad lete hen aur kyun? meri in baatun ke baare main jo bhi soch ya tasawur hai woh main ne apni mukhtalif posts main bayaan ker diya hai. albatta woh sab aap ko ya to roman urdu main mile ga ya phir english main. aap apni tojihaat bayaan karen in baatun ke baare main. kia khudaa is duniya main insaani ya kisi aur shakal main aa sakta hai jaisa keh isaaee aur hindu hazraat ke khayalaat hen? agar nahin to kyun nahin?

kia aap jaante hen insaani zabaan kia hai aur ye kaise wajood main ayee hai ya aa sakti thi? insaani zabaan ke ilfaaz kia shai hen aur un ko maani kahaan se mile aur kaise mile ya mil sakte the? kia khudaa aur insaanu ke zabaan ke istemaal main farq hai ya ho sakta hai? agar hai to kyun aur agar nahin hai to kyun? kia quraan ki bunyaad science hai ya ho sakti hai? agar hai to kyun aur kaise?

kia guzre log quraan ko theek tarah se samajhte the? agar aisa hai to us ka saboot kia hai aur agar woh nahin samathe the to us ka kia saboot hai? matlab ye keh jab aap apne tareeqe se baaten samjhaayen to in baatun ke mutaliq samjhaayen. main aap ke in baatun ke samjhaane ke baad hi aap ki baatun per tabsra karun ga keh woh drust hen ya un ke saath koi problem hai. bunyaadi tor per ham afhamo tafeem se woh drust tareeqa maloom kerna chahte hen jisse quraan theek tarah se samajh main aa sake. warna ham apne wajood aur apni zindagi ke maqsad ke baare main hamesha hi uljhanu ka shikaar rahen ge. umeed hai meri roman urdu hamaare darmiyan tabaadlae khayalaat main rukaawat nahin bane gi.

deegar aise sawalaat saath saath chalte rahen ge aur mujhe jawabaat ki bhi jaldi nahin hai aap jab jab apna waqt nikaal saken theek hai. agar aap ko meri kisi baat ki mazeed tafseel darkaar ho poochh lijiye ga. main apni taraf se maqdoor bhar koshish karun ga aap ko baat samjhaane ki taa keh aap bhi munaasib jawaab de saken.

meanwhile regards and all the best.
 
Last edited:

There is only 1

Chief Minister (5k+ posts)
آپ گوگل ان پٹ ٹولز کی ویب سائٹ پر جا کر اردو لکھ سکتے ہیں ، وہاں اردو لکھنا بہت آسان ہے
یہ لنک کھولیں
اس کے بعد انگلش کی جگہ اردو سلیکٹ کریں
اور پھر آپ رومن اردو لکھتے جایئں اور وہ خودبخود اردو رسم الخط میں بدلتی جائے گی

اردو میں لکھنے کا آپ کو بڑا فائدہ یہ ہو گا کہ آپ کے کمنٹ کافی زیادہ لوگ پڑھیں گے
............. . . .....................
خدا کے بارے میں ہمارا تصور
یہ آیت دیکھیں

[38:75]
(اللہ تعالیٰ نے) فرمایا اے ابلیس! تجھے اسے سجده کرنے سے کس چیز نے روکا جسے میں نے اپنے ہاتھوں سے پیدا کیا۔ کیا تو کچھ گھمنڈ میں آگیا ہے؟ یا تو بڑے درجے والوں میں سے ہے

الله کے ہاتھوں سے کیا مراد ہے ؟
 
azeezam there is only 1 sb, aap ki baat bilkul drust hai ke urdu main likhne se meri baat se ziyaada log faaida uthaa sakte hen. link ke liye shukriya magar ye mere bas ki baat nahin hai. is liye keh main aap ki tarah young nahin hun. main jab haroof ko dhoondoo ga to baat hi zehn se nikal jaaye gi. phir is app ko istemaal kerne ke liye kaafi practice chahiye, lihaaza aap mujhe is maamle main mazoor hi samjhen.

rahee aap ki baat keh khudaa ke haathun se kia muraad hai, to ye to haqeeqat main khud khudaa hi jaanta hai magar ham isse khudaa ki qadrat muraad le sakte hen. haath ham insaanu ke liye is liye aham hen keh woh ham ko bahot se kaam kerne main hamaari madad kerte hen. hamaari quwwat aur taaqat hote hen haath.

khudaa ki hasti ke baare main ham kuchh ziyaada nahin jaan sakte issi liye us ko us ke kaamun hi se pehchaan sakte hen. yani takhleeqe kaainaat aur wahee ke zaraaye se.

waise aap bila jijak apna nuqtae nazar bayaan kiye jaayen un nuqaat ki roshni main jo main ne arz kiye hen. main apna tabsraa baad main doon ga agar zaroorat padi to. per ho ga woh roman urdu main hi ya phir english main. waise main ne darkhwaast zaroor ki hai logoon se keh agar koi munaasib samjhe to meri roman urdu ko ya english ko proper urdu main likh de. per kisi ne bhi khud ko volunteer nahin kiya.

regards and all the best.
 
There is only 1

Chief Minister (5k+ posts)

azeezam there is only 1 sb, aap ki baat bilkul drust hai ke urdu main likhne se meri baat se ziyaada log faaida uthaa sakte hen. link ke liye shukriya magar ye mere bas ki baat nahin hai. is liye keh main aap ki tarah young nahin hun. main jab haroof ko dhoondoo ga to baat hi zehn se nikal jaaye gi. phir is app ko istemaal kerne ke liye kaafi practice chahiye, lihaaza aap mujhe is maamle main mazoor hi samjhen.

ان پٹ ٹولز میں لکھنا آسان ہے آپ اس میں رومن اردو لکھتے جاتے ہیں اور وہ خود ہی کنورٹ کرتا جاتا ہے
اس میں آپ کو الفاظ ڈھونڈھنے نہیں پڑتے

اگر آپ نے لفظ "سے" لکھنا ہے تو آپ درج ذیل رومن سپیلنگ لکھیں تو لفظ "سے" ہی آئے گا
se
sey
sae

Peek-2021-10-24-09-02.gif

ان پٹ ٹولز میں رومن اردو لکھی جاتی ہے . ان پیج اردو والی اردو نہیں . آپ کو اس میں الفاظ نہیں ڈھونڈھنے پڑتے
rahee aap ki baat keh khudaa ke haathun se kia muraad hai, to ye to haqeeqat main khud khudaa hi jaanta hai magar ham isse khudaa ki qadrat muraad le sakte hen.
اس بات کی کچھ سمجھ نہیں آتی
کیا باقی مخلوق کو الله نے اپنی قدرت سے پیدا نہیں کیا ؟ بلکل کیا ہے
پھر شیطان کو یہ کہنا کہ آدم کو کیوں نہ سجدہ کیا جسے میں نے اپنی قدرت سے پیدا کیا ہے ؟
شیطان کہہ سکتا ہے کہ مجھے بھی تو تو نے اپنی قدرت سے پیدا کیا ہے تو پھر میں اسے سجدہ کیوں کروں ؟

آپ اگر ہاتھوں سے مراد الله کی قدرت مراد لیتے ہیں تو آیت کا کوئی ربط نہیں بنتا
 
Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)

ان پٹ ٹولز میں لکھنا آسان ہے آپ اس میں رومن اردو لکھتے جاتے ہیں اور وہ خود ہی کنورٹ کرتا جاتا ہے
اس میں آپ کو الفاظ ڈھونڈھنے نہیں پڑتے

اگر آپ نے لفظ "سے" لکھنا ہے تو آپ درج ذیل رومن سپیلنگ لکھیں تو لفظ "سے" ہی آئے گا
se
sey
sae

Peek-2021-10-24-09-02.gif

ان پٹ ٹولز میں رومن اردو لکھی جاتی ہے . ان پیج اردو والی اردو نہیں . آپ کو اس میں الفاظ نہیں ڈھونڈھنے پڑتے

اس بات کی کچھ سمجھ نہیں آتی
کیا باقی مخلوق کو الله نے اپنی قدرت سے پیدا نہیں کیا ؟ بلکل کیا ہے
پھر شیطان کو یہ کہنا کہ آدم کو کیوں نہ سجدہ کیا جسے میں نے اپنی قدرت سے پیدا کیا ہے ؟
شیطان کہہ سکتا ہے کہ مجھے بھی تو تو نے اپنی قدرت سے پیدا کیا ہے تو پھر میں اسے سجدہ کیوں کروں ؟

آپ اگر ہاتھوں سے مراد الله کی قدرت مراد لیتے ہیں تو آیت کا کوئی ربط نہیں بنتا

azeezam there is only one sb, mere liye urdu font use kerna itna asaan nahin hai. agar hota to main zaroor aisa hi kerta. udru ke apne problems hen. misaal ke tor per agar main seen aur swaad waale lafz istemaal karun ga to choices aa jaayen ge aur mera dhiyaan mujhe udhar uljhaa de ga bajaaye baat per tawajo dene ke. abhi is program main kaafi improvement darkaar hai. is ke liye programming kerne waalun ko urdu dictionary per kaam kerna ho ga ta keh jab koi shakhs koi lafz likhe to computer us ko dekhe ye lafz likha kaise jaata hai phir us ki jaga woh lafz likh de.

her koi artificial intelligence ki baat kerta hai magar artifical intelligence woh kaam bilkul hi nahin ker sakti jahaan kisi maamle main computer ko poora poora program kerne ki zaroorat pade. aise maqaam hamesha aate hi rahen ge. yahee wajah hai computer kabhi bhi insaani dimaagh ko replace nahin ker sakte. khair ye baat doosri taraf nikal gayee.

ab aata hun main aap ki baat ki taraf. aap ne baat ki ibtadaa quraan se shuroo ker di hai haalan keh main ne aap se arz kiya tha keh ham qurano hadis se baat shuroo nahin karen ge. is liye keh pehle ham ko ye dekhna hai keh hamaara ilm aataa kahaan se hai aur kaise aataa hai. agar aap ne kabhi meri posts padhi hen to main ne ye baaten tafseel se bayaan ki hen aur issi liye ki hen keh in ke baghair kisi insaan ke kisi bhi tarah ke ilm ki koi bunyaad hi nahin ho sakti. yahee wajah hai ham kisi bhi baat ko drust ya ghalat keh hi nahin sakte jab tak hamaare paas pakki ilmi bunyaad hi no ho keh ham insaanu ko ilm haasil kaise hota hai.

yahee baaten nazar andaaz kerne ki wajah hi se sab ke sab logoon ne quraano hadis ke ghalat tarjamen kiya hen aur yahee baat nazar andaz ker ke sansdaan aur filaasfar bhi ghalt simt main nikal ge. lihaaza aap sab se pehle ye baat saamne laayen ta keh phir ham quraano hadis per baa-aasaani baat ker saken aur ham ko saaf saaf pata chal sake keh ham ne qurano hadis ke terjamen kahaan kahaan ghalat kiye hen aur ye ghalatiyan kia kia hen ya in ki noiyat kia kia hai. doosre lafzun main aap apni zaat per ghor karen keh aap ne peda hone ke baad aaj tak ilm kaise haasil kiya. aap ne abhi tak kiya socha hai keh ilm haasil kerne ke bunyaadi lawaazmaat kia kia hen jin ko jaane baghair aap kuchh bhi jaan hi nahin sakte the.

yahee baaten hamaare liye pakki bunyaad banen gi jab ham qurano hadis ka drust tarjama kerne main aik doosre ki madad karen ge. main ne in baatun per jahaan tak ghoro fiker kiya hai woh main tafseel se bayaan ker chuka hun aur aap meri un baatun se faaida uthaa sakte hen agar aap ki nazar abhi tak wahaan tak nahin gayee hai. aap ko apna tareeqa bataane ka issi liye keh rahaa hun keh shaayad aap ne mujh se behtar tareeqa dhoond nikaala ho jisse main faaida haasil ker sakun. agar aisa nahin hai to aap mera tareeqa jaan len aur us ko apnaa len. main aap se aap ka tareeqa issi liye poochh rahaa hun keh aap ne aisa koi tareeqa kabhi bayaan hi nahin kiya hai. main aap se munaazara nahin ker rahaa hun balkeh haqaaiq jaanane ke liye aap ki madad haasil kerne ki koshish ker rahaa hun aur aap ko madad dene ki koshish bhi ker rahaa hun.

yaad rakhen jab ham qurano hadis per baat karen ge to bhi mujhe aap ki madad darkaar ho gi. main agar doosrun ki baat main ghalati dekhta hun to apne tareeqe se un ko baat samjhaane ki koshish kerta hun. main chahte hun doosre bhi aisa hi rawiya apnaayen ta keh ham aik doosre se drust baat seekh saken bajaaye ladayee jhagda kerne ke jo aap bhi yahaan hota dekhte hen. agar hamaara rawaiya aik hone ka ho ga to ham zaroor raasta dhoond len ge. issi se ham aik hun ge zehni tor per aik doosre ki madad ker ke. warna aik doosre se muqaabla ker ke aapas main ladayee jhagde ker ke ham aik doosre se door ho jaayen ge jis ko ham deene islam ke liye kaam kerna nahin keh sakte. umeed hai aap meri baat ko samajhne ki koshish karen ge aur wohee rawaiya apnaayen ge jo main ne apnaaya huwa hai keh issi main ham sab ki bhalayee hai.

معافی چاہتا ہوں لیکن آپ نے خود کہا تھا کہ آپ بنیاد سے بات کرنا چاہتے ہیں آپ نے اسی صفحے میں لکھا تھا کہ
albatta baat aap bunyaad se shuroo karen. maslan khudaa ke baare main aap ke haan kia tasawur hai aur kyun hai.
لیکن خیر آپ اگر "علم آتا کہاں سے ہے " پر بات کرنا چاہتے ہیں تو ٹھیک ہے

عرض ہے کہ ہمارے نزدیک علم الله کی طرف سے رسول پاک صلی الله علیہ والہ وسلم کے وسیلے سے آتا ہے
لہٰذا علم کا پہلا اور بنیادی ماخذ ہمارے رسول پاک ہیں
رسول پاک صلی الله علیہ والہ وسلم نے حضرت علی کو تمام علم سکھا دیا تھا اس لئے قرآن و حدیث کے بعد حضرت علی علیہ سلام کی تفسیر ہمارے لئے نص ہے

باقی عقل ، تجربہ ، مشاہدہ ، سمجھ بوجھ وغیرہ ثانوی حیثیت رکھتے ہیں اس لئے کسی دوسرے شخص کی تفسیر کو ہم سوال کے طور پر لیتے ہیں اگر اس شخص کی تفسیر ہمارے آئمہ کی تفسیر سے ٹکرا رہی ہو

ایسی صورت میں ہم اس تفسیر سے متعلق سوال کرتے ہیں
آج تک کوئی بھی انسان ہمارے سوالوں کا جواب نہیں دے پایا

بلکے آیات سے متعلقہ سوالات آج تک کسی نے سنے ہی نہیں ہوتے
.. . ..
اس لئے اگر آپ کا علم کا ماخذ کوئی بہتر ہے تو ہمارے سوالوں کے جواب دے دیں میں شیعت چھوڑ کر آپ کا پیرو بن جاؤں گا
 
azeezam there is only 1 sb, bahot shukriya keh aap ne ilm haasil kerne ke baare main apna nazriya bayaan farmaya jisse mujhe aap ke andaaze fiker se qadre aagahi hui hai. agar aap mazeed is main kuchh izaafa kerna chahyen to aur bhi achha ho ga keh mujhe aap ke nuqtae nazar ko samajhne main aasaani ho gi.

rahee mere nazriya ki baat to agar aap ko mera nazriya is maamle main meri tehreerun se maloom hai to bataayen aur agar nahin to main aap ke liye yahaan dobaara bayaan ker deta hun taa keh phir ham baat ko aage le jaa saken aur maloom kerne ki koshish karen keh in nazriyaat main kia kia drust hai aur kyun aur kia kia naqaais hen aur kyun.

میرے خیال میں میری طرف سے بس اتنا کافی ہے

مجھے آپ کے طریقے کار کا کچھ کچھ اندازہ ہے لیکن اگر آپ مختصر یہاں خلاصہ لکھ دیں تو بہتر ہو گا
 
azeezam there is only sb, thank you for replying.

meri samajh ke mutaabiq koi shakhs bhi kuchh bhi theek tarah se nahin jaan sakta jab tak keh us ko kisi shai ka ilm haasil kerne ke lawaazmaat haasil na hun. her baat theek tarah se samajh main aane ke liye maqsad ka taqaaza kerti hai. jis baat ya shai ka koi maqsad hi na ho us ko samjha hi nahin jaa sakta.

us ki misaal main kuchh is tarah se dun ga keh agar aik shakhs kisi shai ka ilm haasil kerna chahta hai to us ke liye laazim hai keh woh us ke liye darkaar tamaam lawaazmaat rakhta ho. yani agar kisi shai ko dekh ker us ka ilm haasil hota hai to phir laazmi hai keh aise shakhs ke paas aankhen hun jin se woh dekh sake. magar sirf aankhen insaan ko ilm nahin de saktin keh aankhen andhere main nahin dekh saktin. lihaaza aankhun ke saath saath roshni ka hona bhi laazmi thehrta hai.

ab agar insaan ke paas aankhen hen aur roshni bhi hai magar jo woh dekhna chahta hai wohee mojood nahin hai to phir aankhen aur roshni kis kaam ki? lihaaza aankhen, roshni, aur dekhne waali shai sab hi aapas main laazimo malzoom hen.

in sab ke hote huwe bhi insaan ilm haasil nahin ker sakta agar us ke paas cheezun ke samajhne ki salahiyat hi na ho yani aqal hi na ho.

ab in chaar baatun ke bawjood insaan baat ko nahin samajh sakta jab tak in sab ka koi context ya sayaaqo sabaaq hi na ho. ye sab mil ker ab 5 baaten ho gayeen.

ab sawaal peda hota hai keh in sab baatun ka drust context ya sayaaqo sabaaq kahaan se mile ga?

ye context mazkoora cheezun ke asal yani drust maqsad se mile ga. ab phir sawaal peda hota hai ye maqsad kahaan se mile ga?

ye maqsad saheeh tor per sirf aur sirf ussi se mile ga jis ne ye sab cheezen apne plan ke mutaabiq banayee ya design ki hen apne maqsad ko poora kerne ke liye.

meri samajh ke mutaabiq is baat ka jaanana her shakh ke liye laazmi hai taa keh woh aane waali mazeed explanation to theek tarah se samajh sake.

kia aap meri in baatun se itifaaq ker sakte hen ya aap ko ye baaten ghalat maloom hoti hen.

aik baat aur, aur woh ye keh aap bhi aisa hi andaaz apnaayen apni baatun ko doosrun ko samajhaane ke liye. doosrun per sawaalun ki bochhaar kerne se maamla ulajh ker reh jaata hai. aap khud hi munaasib sawalaat uthaaiye aur saath hi un sawalaat ka apni samajh ke mutaabiq jawaab bhi dijiye. woh jawaab drust hen ya ghalat logoon ko decide kerne den jo apne apne aqlo fiker ke mutaabiq hi baat ko samjhen ge. agar aap ki baat kisi ko drust lage gi to woh maan le ga warna woh us per sawalaat uthaaye ga aur aap ki marzi us ko jawaab den ya khamoshi ikhtiyaar karen.

ham sab insaan hen aur is duniya main koi bhi insaan aisa peda nahin huwa hai jis ko her shai ka ilm haasil ho. ilm ki had ka taaiyun maqsade takhleeq per munhasir hota hai. jis shai ko khudaa ne jis maqsad ke liye peda kiya hai ussi ki had tak us ko ya to ilm diya gayaa hai khudaa ki taraf se ya woh shai khud ussi qadar ilm haasil ker sakti hai kyunkeh khudaa ne us ke andar utni hi salahiyat rakh di hai aur baaqi ussi ki marzi per chhor diya hai keh chahe to ilm haasil kare aur chahe to unjaan rahe. khudaa ne insaanu ko ilm nahin malumaat di hen. ilm aur malumaat main farq hota hai. insaanu ka malumaat ko theek tarah se samajh lene ka naam ilm hai.

yahee wajah hai bemaqsad ilm jis ki insaanu ko koi zaroorat hi nahin hai woh quran main sire se mojood hi nahin hai. yaheen se pata chal jaata hai keh quran main her shai ka ilm nahin hai balkeh jis ilm ki insaanu ko khudaa ka diya huwa maqsad ko poora kerne ke liye zaroorat thi bas wohee ilm quraan main insaanu ko diya gayaa hai.

agar ham quraan ke tarjame aur tafseeren padhen to ham ko maloom ho jaata hai keh tarjamen aur tafseeren kerne waalun ne quraan se us ka maqsade nazool maloom hi nahin kiya aur tarjamen ker daale. khair ye baat doosri taraf nikal jaaye gi. abhi mujhe mazeed aise hi haqaaiq bayaan kerne hen jin ke baghair kisi ka quraan ko theek tarah se samajhne ka dawa drust saabit ho hi nahin sakta.

aap mere bayaan kiye ge is usool per apna tabsra kerne ka poora poora haq rakhte hen. is liye ta keh agar is main kuchh khaamiyan hun to main un ko aap ki madad se door ker sakun. agar aap ko meri ye baat samajh main na aaye to main is ko mazeed mufassal ker ke bayaan ker sakta hun. aur agar aap baat ko samajh ge hen to phir main aage chalun ga ta keh main aap ko agli baat se aagaah karun. yahee baaten hen jo main pehle bhi bayaan ker chuka hun.

in baatun ko bayaan kerne se faaida ye hota hai keh ham insaanu ko maloom ho jaata hai kia mumkin hai aur kia naamumkin. lihaaza aise tamaam aqeede jo aise usoolun per poore na uterte hun un ka saaf saaf pata chal jaata hai. yahee wajah hai quraan ko us ke maqsad ke mutaabiq samajhna laazmi hai warna maamla gard bard ho jaata hai. yahee wajah hai main qurano hadis per baat nahin kerta jab tak log in baatun ko achhi tarah se zehn nasheen na ker len jo main abhi mazeed bataane waala hun.

meanwhile regards and all the best.
 
Last edited: