مشکلات کے حل کی دعا

Amal

Chief Minister (5k+ posts)




ﺑِﺴــــــﻢِ ﺍﻟﻠﻪِ ﺍﻟَـــﺮَّﺣْـﻤَـــﻦِ ﺍﻟــﺮَّﺣِﻴــــﻢ





83005289_2835874663137874_8776244251756331008_n.jpg



Narrated Anas bin Malik:

The Prophet (ﷺ) used to say, "O Allah! I seek refuge with You from worry and grief, from incapacity and laziness, from cowardice and miserliness, from being heavily in debt and from being overpowered by (other) men." (See Hadith No. 374)

,
انس بن مالک رضی اللہ عنہ نے بیان کیا, کہا کہ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم کہتے تھے اللهم إني أعوذ بك من الهم والحزن ، ‏‏‏‏ والعجز والكسل ، ‏‏‏‏ والجبن والبخل ، ‏‏‏‏ وضلع الدين ، ‏‏‏‏ وغلبۃ الرجال ‏ ” اے اللہ ! میں تیری پناہ مانگتا ہوں غم والم سے ، عاجزی سے ، سستی سے ، بزدلی سے ، بخل ، قرض چڑھ جانے اور لوگوں کے غلبہ سے ۔ “
حَدَّثَنَا خَالِدُ بْنُ مَخْلَدٍ، حَدَّثَنَا سُلَيْمَانُ، قَالَ حَدَّثَنِي عَمْرُو بْنُ أَبِي عَمْرٍو، قَالَ سَمِعْتُ أَنَسًا، قَالَ كَانَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم يَقُولُ ‏ "‏ اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنَ الْهَمِّ وَالْحَزَنِ، وَالْعَجْزِ وَالْكَسَلِ، وَالْجُبْنِ وَالْبُخْلِ، وَضَلَعِ الدَّيْنِ، وَغَلَبَةِ الرِّجَالِ ‏"‏‏.‏
,
Reference : Sahih al-Bukhari 6369






 

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
duaayen sirf aur sirf insaanu ki khawaaishaat hoti hen jo agar khudaa ke maqsad aur tadbeer ke mutaabiq hoti hen to poori hoti hen aur agar us ke baraks hoti hen to poori nahin ho paatin.

insaani duniya main khudaa ne aik badi had tak insaanu ko khud apne aap per chhora hai keh woh miljul ker woh kaam karen jis ka khudaa ne un ko bataaya hai. quraan ko insaanu ko dene ka yahee maqsad tha khudaa ka.

insaanu ne quraan ko theek tarah se samajhne ke liye padhna hi chhor diya hai to us per theek tarah se amal kaise karen ge? aur insaan jab quraan ko na to theek tarah se samjhen ge aur na hi us per theek tarah se amal karen ge to usse faaida kaise uthaayen ge?

ye samajh lena keh ham baith ker duyaaen kiye jaayen ge aur khudaa hamaare kaam kiye jaaye ga quraan ki taleem ke sara sar khilaaf hai.

insaanu ka kaam tha khudaa se hadaayat yani maloomaat maangna keh woh is duniya main kis liye bhaije ge hen aur woh maqsad woh kaise poora karen ge. khudaa ne un ko hadaayat de di hai yani un ko duniya main bhaijne ka maqsad bataa diya hai aur woh maqsad woh kaise poora ker sakte hen ye bhi bataa diya hai ab baaqi kaam khud insaanu ke apne kerne ka hai taa keh un ki tamaam ter insaani zaroorten aik doosre ki madad se poori ho saken aik ummat ban ker kaam kerne se.

lihaaza quraan ko theek tarah se samajhne ki koshish main lag jaao aur phir samajh ker us per theek tarah se amal kerne ki koshish main lag jaao. sab theek thaak ho jaaye ga. For a detailed explanation see HERE and HERE. yaad rakhen woh kaam her giz khudaa ki ibaadat nahin hen jo khudaa ke bataaye huwe maqsad ko poora kerne ke raaste main rukaawat hen jin ko log khudaa ki ibaadat samajh ker kerte hen apni jahaalat ki wajah se.

zara is baat ko socho insaan khudaa ki panah main aa kaise sakta hai? is duniya main insaanu per us ki hakoomat qaaim ker ke aur us ke dastooro qanoon ke mutaabiq zindagi basar ker ke. is ke ilaawa aur koi tareeqa hai hi nahin khudaa ki panah main aane ka agar hai to bataao?

zara socho kia bewaqoof aur ahmaq log ya sust aur kaail ya paagal log khudaa ki hakoomat is duniya main qaaim ker sakte hen insaanu per? lihaaza khud ko is qaabil kerne ki fiker karo keh khudaa ki is duniya main hakoomat qaaim ker sako insaanu per. insaanu ko aik ummat banaa ker. ye sab baaten intahee mehnat ka taqaaza kerti hen. is liye keh ilm haasil kerna koi mamooli kaam nahin hai. na hi ilm haasil kerne ke baad us per amal kerna hi koi mamooli kaam hai.

sirf kalma padhne se insaan kaamil musalmaan nahin ho jaata us kalme ko haqeeqat ka roop dene ke liye koshish kerne se insaan saheeh musalmaan banta hai. kalma padhna to sirf aik elaane aam hai aik insaan ki taraf se keh main deene islam ke mission ko poora karne ki her mumkin koshish karun ga apni khudaadaad quwat ke mutaabiq. khud se poochhen to sahi, kia aap woh kaam ker rahe hen jis ka aap ne kalma padh ker khudaa se waada kiya hai aur jis ka deene islam aap se taqaaza kerta hai?

mullah ki ghalat baatun per bharosa ker ke mat bhaithiye keh khudaa aap ki ghalatiyan maaf ker de ga kuchh ilfaaz adaa kerne se ya kuchh amaal kerne se. agar aisa hota to kia ummat aaj is haalat main hoti? khudaa insaanu ko un ki ghalatiyun per pakerta hai apne ghair mutabaddal qawaneen aur mechanisms ke zariye. issi liye aaj ummat ki ye haalat hai jo hamaare saamne hai. lihaaza quraan ki baatun ke ghalat tarjamun se bacho. ye quraan ke khilaaf dabaari mullah ki saazish thi hukamraanu aur sarmayadaarun ke imaan per.
 
Last edited:

ualis

Minister (2k+ posts)
Jitni marzi dua karay jao koi hasil ya wasool nahi hoga. Musalmaan Quran ko choor kar puja paat may per Gaya hay.