مدارس کے تعلیمی نصاب میں میں فوری اصلاحات کی ضرورت

Pakistani1947

Chief Minister (5k+ posts)
میں نے اس مسلہُ پر اپنے ایک دوست سے بات کی اور ان کے خیالات نیچے قوٹ کر رہا ہوں اور میں کافی حد تک ان کی بات سے متفق ہوں
میری رائے میں مسئلہ یہ نہیں ہے کہ اگر کچھ صفحوں میں جنسی مواد موجود ہے یا اگر ہمارا آڈٹ ہو رہا ہے یا نہیں۔
مسئلہ یہ ہے ہم کیا حاصل کرنے کی کوشش کر رہے ہیں۔
کیا ہم کچھ طوطے تیار کی کوشش کر رہے ہیں جو چند سو لائنیں حفظ کرسکیں یا ہم تعلیم یافتہ لوگوں کا ایسا گروپ تیار کرنا چاہ رہے ہیں جن میں مذہبی تعلیم کے حوالے سے تنقیدی سوچ مہارت ہو ۔
اگر ہمیں طوطوں کی ضرورت ہو تو نظام اچھا کام کر رہا ہے۔
لیکن اگر ہمیں رہنماؤں کی ضرورت ہے تو نظام مکمل طور پر فلاپ ہوجاتا ہے۔
سب سے پہلے ہمیں یہ قبول کرنا چاہئے کہ تعلیم تعلیم ہے خواہ دینوی ہو یا دنیاوی ۔ اس کی شروعات سب کے لئے حروف تہجی اور نمبر سیکھنے سے ہوتی ہے ، اور پھر ہم ترقی کرتے رہتے ہیں۔ خصوصی تعلیم 11 یا 12 سال کی بنیادی تعلیم کے بعد آتی ہے۔ 12 سال کی تعلیم کے بعد ایک بچہ کو فیصلہ کرنا چاہئے کہ وہ کس شعبے میں مہارت پیدا کرنا چاہتا ہے۔ اگر بچہ کیمسٹ ، ماہر حیاتیات ، انجینئر ، ماہر نفسیات ، معاشیات ، مذہبی اسکالر وغیرہ بننا چاہتا ہے۔
مدرسہ نظام میں ہم ایک پانچ سال کا بچہ لے جاتے ہیں اور انہیں بنیادی مہارت دیئے بغیر طوطے بنانے کی کوشش کرتے ہیں۔
دوسرا مرحلہ کورس کے نصاب کی طرف دیکھنا ہے - اور آپ ٹھیک کہتے ہیں کہ مکمل طور پر غیر پیداواری ہے۔
 

Pakistani1947

Chief Minister (5k+ posts)

طوطوں کی طرح رٹا لگانے والی بات سے میں متفق ہوں لیکن یہ صرف مدرسوں کا مسلہ نہیں ہے . ہر اسکول اور حتیٰ کہ یونیورسٹیوں کا بھی یہی حال ہے کہ ہر مضمون میں صرف ایک کتاب کا رٹا لگانے کی ضرورت ہوتی ہے . مضمون پر نہیں بلکہ کتاب پر توجہ ہوتی ہے . الٹا اگر کسی نے مزید کتابیں پڑھ کر اپنی نالج میں اضافہ کرکے امتحان میں اپنی تحقیقی سوچ لکھ دی تو نمبر کاٹ دے جاتے ہیں لہذا صرف مدرسوں کو مورد الزام ٹہرانا غلط ہے

دوسری بات آپ نےخصوصی تعلیم کی شروعات کے بارے میں کی ہے کہ وہ گیارہ بارہ سالہ تعلیم کے بعد ہونی چاہیے . یہ آپ کی اپنی سوچ تو ہو سکتی ہے لیکن پاکستان میں ایسا نہیں ہے . کوئی بھی اسکول کالج اٹھا لیں آٹھویں کے بعد خصوصی تعلیم شروع ہو جاتی ہے اگر آپ کو اس کا علم نہیں ہے تو یہ لیں دسویں اور بارہویں جماعت کا سلیبس دیکھ لیجئے

مدرسوں میں بھی ایسا ہی ہے . آٹھویں سے پہلے نہ تو کسی داخلہ ملتا ہے اور نہ ہی وفاق امتحان میں بیٹھنے کی اجازت دیتا ہے
پاکستان عام اسکولوں میں آٹھویں جماعت تک ایک ہی نصاب ہے۔ نویں جماعت سے طلبہ کو ان کی ترجیح کی بنیاد پر جن چار مختلف شاخوں میں تقسیم کیا جاتا ہے وہ یہ ہیں؛ پری میڈیکل، پری انجینیرنگ، معاشیات، اور آرٹس، اس سٹیج پر سواۓ ایک یا دو مضامین کے تمام مضامین ایک جیسے ہوتے ہیں، یہ دراصل یونیورسٹی یا کالج میں مخصوص مضامین کے لئے تیاری ہے ؛ خصوصی مضامین جیسے کیمیإ ، فزکس، جیالوجی وغیرہ تیرویں جماعت سے شروع ہوتے ہیں۔ میری گزارش ہے کہ مدرسوں میں بھی اسی طرح عام اسکولوں کے مطابق نصاب پڑھایا جاۓ، نویں جماعت میں دینوی تعلیم کے دوسرے مضامین جیسے پری میڈیکل، پری انجینیرنگ، معاشیات، اور آرٹس کا اضافہ کیا جاۓ تاکہ جو طلبہ دنیاوی تعلیم کو ترجیح دیں وہ اپنی مرضی کے مضامین منتخب کر سکیں
 

Pakistani1947

Chief Minister (5k+ posts)

Whoever has intercourse with animal, then there is no punishment (hadd) for him. Jami` at-Tirmidhi


آپ نے جس حدیث کا ذکر کیا ہے ، اس کی صداقت کے بارے میں علماء کے مابین اختلاف ہے۔ مزید پڑھیں۔۔۔۔۔۔۔۔

میں تسلیم کرتا ہوں کہ مدرسہ نصاب سے کمزور احادیث کو خارج نہیں کیا جاسکتا لیکن اس قسم کی متنازعہ احادیث کو تنقیدی سوچ اور تفہیم کے لئے مدرسہ کی اعلیٰ ترین تعلیمی درجہ کے نصاب کا حصہ بننا چاہئے۔ نچلی سطح پر صرف وہی احادیث نصاب کا حصہ بنیں جو مستند ہیں اور جن کے بارے میں محدثین میں اختلاف نہیں پایا جاتا۔
 

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
sex aik haqeeqat hai jis ki ham sab pedawaar hen. isse bhaaga nahin jaa sakta. deene islam ke context main is ka bhi aik maqsad hai. jab tak ham sex ke baare main khud ko aur aik doosre ko aur apne bachun ko saheeh taleemaat theek tareeqe se nahin den ge baat banane waali nahin hai.

sab se pehli baat ye hai keh islam deen hai mazhab nahin hai. mazhab aur secularism ne sex ko ghalat tareeqe se control kerne ki koshish ki hai apne ghalat maqsad ke liye. ye sab khilaafe deene islam hai.

sex ki malumaat her shakh ko her waqt milti hen aur her shai se milti hen keh her zinda shai sex ki pedawaar hai. is main koi buri baat nahin hai. agar koi buri baat hai to woh ye keh sex ko ghalat maqaasid ke liye control kiya jaaye zameen main insaanu ke darmiyaan fitna fasaad peda kerne ke liye. yahee kaam hukamraan, sarmayadaar aur mullaan mil ker kerte aaye hen aur ker rahe hen. in haraami logoon ki her baat main soch hi ghalat hoti hai kyunkeh in ki her baat zaati mufadaat se shuroo ho ker zaati mufadaat per hi khatam ho jaati hai. ye log sex ko aise hi istemaal kerte hen jaise zar aur zameen ko. yaani her shai per apna control jamaana chahte hen. issi liye to in ke mehel londiyun se bhare rahe aur bhare rehte hen. ye log apne siwaa kisi ko insaan samajhte hi nahin hen. issi liye to kisi aur ki zarooratun ka in ko kuchh bhi khayaal tak nahin hota.

is ke barax deene islam per mabni maashra aik open society hoti hai jis main sab apne hote hen koi paraaya nahin hota. un ki zindagi ka maqsad khudaa ke deen per chal ker us ka diya gayaa maqsad poora kerna hota hai. woh her baat ko issi context main dekhte hen. sex bhi is maqsad ke teht hi dekha jaaye ga jaise baaqi her shai ki malkiyat keh sab kuchh khudaa ka hai aur ussi ne ham insaanu ko ye sab kuchh kisi maqsad ko poora kerne ke liye diya hai. deene islam main her peda hone waala bacha ummat ka bacha hota hai kisi khaas shakhs ka zaati malkiyat nahin. deene islam main her baat ka faisla ummat kerti hai wahee aur saamne mojood haqaaiq ki roshni main apne majmui aqlo fiker ki madad se.

jab ummat kisi baat ka faisla ker leti hai to phir woh baat her mutalqa shakhs ko maloom karayee jaati hai aur jin ko is baat per koi kaam kerna hota hai woh baat un ke hawaale ker di jaati hai ta keh woh us per kerne waala kaam ker ke us ka nateeja ummat ke hawaale karen.

yahee maamla sex se mutaliq bhi hota hai. zaroori hai keh aik khaas umar ke bachun ko jawaani se pehle sex ki poori poori taleem di jaaye taa keh jab woh bache jawaan hun to un ko kisi qisam ka sex ke mutaliq confusion na ho keh is ka maqsad kia hai deene islam ke maqsad ke teht.

zaroori hai keh ummat utne bache peda kare jitne us ko darkaar hen ummat ka maqsad poora kerne ke liye jin ki ummat munaasib taleemo tarbiyat bhi ker sake ta keh jis maqsad ke liye bache peda kiye ge hen woh us ko poora bhi kerne ke qaabil hun. bemaqsad bache peda kerna insaanu ka kaam nahin hai cheh jaaye keh musalmaan aisa karen warna ummat khud apne bojh tale khud hi dab jaaye gi. matlab ye keh ummat ko apne paaon utne hi phelaane hun ge jitni is ki chaadar hai. ummat ko her baat ko achhi tarah se plan kerna ho ga. issi liye to deene islam organisation aur regulation ka naam hai quraani hadayaat ke ain mutaabiq aik dastoor aur us ke qawaneen ke teht. aik shakhs khud ko musalmaan kehlwaaye aur usse maloom hi na ho keh ummat kia hot hai to woh kaisa musalmaan hai? ummat insaani shakal ke jaanwarun ke ikath ko nahin kehte. jaanwarun ka ikath jaanwarun ka ikath hi hota hai musalmaan ummat nahin.

yahee wajah hai quraan logoon ko aik ummat ke tor per khud ko organise aur regulate kerne ki baar baar baat kerta hai. issi liye sex ko bhi ummat ko is tarah se organise aur regulate kerna ho ga keh ummat main sexual perversion peda hi na ho. sexual perversion deene islam ke khilaaf maashra banaane se peda hoti hai. lihaaza kisi shakh ko bhi sex ke maamle main unjaan nahin hona chahiye ta keh log is maamle main barwaqt saheeh faisle ker saken. quraan sirf logoon ko ummat banane per zor nahin deta balkeh aik behtareen ummat banane per zor deta hai. jo khudaa ki shabaashi haasil ker sake.

sex her zinda shai main hai agarche woh poda ya drakht hi kyun na ho. insaan to ghoro fiker kerne waali shai hai. kia is ko maloom nahin hona chahiye keh is ke jism ke saath ye jo kuchh laga huwa hai woh kis liye hai? lihaaza ye kehna bilkul ghalat baat hai keh agar ham bachun ko sex ke baare main unjaan rakhen ge to is ka koi achhaa nateeja nikle ga. balkeh issi ka nateeja hai jo kuchh is maamle main duniya main ho rahaa hai. kyunkeh agar aap kisi maamle main drust malumaat chhupaayen ge to phir log woh kaam jo unhune ne kerna hi kerna hai keh ye aik qudrati amal woh amal log ghalat tareeqe se karen ge jis ka sirf aur sirf nuqsaan hi ho ga.

sex kisi shakhs se bhi chhupaaya hi nahin jaa sakta. kia aap ne gaaon ki zindagi dekhi hai? agar dekhi hai to dekha ho ga jaanwar kaise sab ke saamne apne sex ka aik doosre se izhar kerte hen. waheen bade aur bache, aurten aur mard sab dekh rahe hote hen aur jaante hen ye kia ho rahaa hai. bhaiden, bakriyan, gaayen, gadhe, ghode, kutte bilyan. in ke ilaawa parinde. kia aap ne murgha murghi ya kabooter kabooteri ya chidya waghera ko aapas main khailte nahin dekha?

lihaaza insaanu ko sex se mutaliq drust malumaat na dena society ke liye sakht nuqsaan deh baat hai. yahee to insaani khaandaan ki asal bunyaad hai. agar is ko ghalat ker diya jaaye ga to baaqi kia drust reh jaaye ga insaani society main? yahaan sawaal peda hota hia keh sex ki perversion peda kaise hui ya ki gayee?

insaan sex porn dekhne ki wajah se nahin kerte balkeh sex drive apne andar hone ki wajah se porn dekhte hen sexual tension se relief haasil kerne ke liye. sex aik drive hai insaanu ke andar jo khudaa ne rakhi hai aise hi jaise baaqi drives hen jo insaanu ko iqdamaat uthaane per majboor kerti hen un drives ko satisfy kerne ke liye. agar aap drives ko drust tareeqe se satisfy kerne ke raaste band ker den ge to phir sochiye kia ho ga? lihaaza kisi maamle main baaten kerne se pehle sochiye baat ko sahee tarah se samajhne ke liye.

agar aap bhooke ke liye roti ka bandobast nahin karen ge drust tareeqe se to phir woh chori ka tareeqa apnaane per majboor ho ga to aisi soorat main ghalati kis ki hai ghalat bunyadun per qaaim maashre ki ya us shakhs ki jo chori se roti haasil kare? asal mujrim kon hai? khudaa ka qanoon ye hai keh jis ko majboor kiye jaaye us ko rukhsat hai keh woh apni zaroorat poori kare jaise bhi ker sakta hai. us per qanoon lagoo hi nahin hota keh aisa qanoon khud apne aap main ghalat hai jo us ko drust tareeqe se apni zaroorat poori kerne se rokta hai. sochne ki baat hai keh aise ghalat maashre kis ne banaaye aur kyun banaaye jinhune insaaniyat ko barbaad ker ke rakh diya hai?
 
Last edited: