ليلة القدر

Wake up Pak

Prime Minister (20k+ posts)
Why the Muslims are so fascinated about the Laylatul Qadar?
Since the Islamic calendar keeps moving back 11 days every year, how the Laylatul Qadar be on the same day?
It is funny they talk about finding (Finding What?) the Laylatul Qadar on odd nights in the last ten days of Ramadan.
 

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)




soorah alqadr ka woh tarjma aur tafseer nahin hai jo jahil mullaan ne batayee hai.

is soorat main quran ye bataa rahaa hai keh khudaa ne insaanu ko wahee kis tareek dor main ataa ki. jis ko samajh ker amal kerne se insaaniyat kis qadar jald apna safar teh ker sakti thi, yani apna maqsade takhleeq jaan ker us ko bataaye huwe tareeqe se poora ker sakti thi. woh fajar poori duniya main taloo ho ker rahe gi aur woh sirf aur sirf wahee ki madad se hi taloo ho gi. mamooli mamooli tor per ye fajar yahaan wahaan taloo hoti rahee hai ambiyaa ke adwaar main magar is ka poori tarah taloo hona abhi baaqi hai.

malaaikah missionaries ko kehte jo khudaa ke mision ko poora kerne main lage rehte hen. rooh khudaa ki wahee ko kehte hen. lail raat ko hi nahin balkeh tareek dor ko bhi kehte hen. woh tareek dor jis main khudaa ne insaanu ko apna paighaam naazal kerna shuroo kiya.

taleem insaanu ko jald us maqaam per pohnchaa deti hai jahaan insaan ko apne tajarbe se ilm haasil kerte umar guzar jaati hai tab bhi nahin pohnch sakte.