زندگی کی فلم

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
azeezam abu abdul samad sb, jab tak hamaari manzil (qibla) drust nahin hi ga aur us ki taraf jaane ke liye hamaara raasta drust nahin ho ga, sirf hamaare musalsal chalne se kuchh nahin ho ga siwaaye is ke keh ham kisi khade main jaa giren ge. jaise keh gire huwe hen.

her baat se ziyaada zaroori manzil ka taayun hai. is ke baad raaste ka taayun hai aur phir us raaste per chalne ki baari aati hai, yani amal ki baari aati hai. ham log pujaari hen aur issi ko ham ne apni manzil banaaya huwa hai aur isse aage hamaari soch kuchh bhi nahin hai. issi baat ne ham ko woh maashra diya hai jo ham ne apne liye khud banaaya huwa ha.

jis din ham ne khudaa ko zor zabardasti se draa dhamkaa ker apni pooja paat kerwaane waala khudaa samajhna chhor diya aur aik khoobsoorat nizaam dene waale khudaa ko maan liya ham bande ke putter banana shuroo ho jaayen ge. us din se ham khudaa ke khoobsoorat nizaam ki teh dil se taareefen kerte nahin thaken ge, aur sochen woh din yani waqt kaisa ho ga jab khudaa ka diya huwa nizaam ham mutashakkil ker len ge? us dor main to takbeer hi takbeer ho gi. log phoole nahin samaayen ge. log to aik taraf khud khudaa ko apne program ki takmeel se kia khushi ho gi. woh din ho ga jab log khudaa se khush aur khudaa logoon se khush. log apne khudaa per maan karen ge aur khudaa apne logoon per maan kere ga. dono aik doosre ko apni apni karkerdagi per shabaashiyan de rahe hun ge.

khudaa kare logoon ko quraan ki theek tarah se jald az jald samajh aa jaaye aur is kaam main log aik doosre ki poori poori madad karen.

regards and all the best