agar insaanu ne apni zindagiyan aik doosre se dushmani ki bunyaad per hi guzaarni hen to is main deene islam kahaan se aa gayaa jisse badnaam kiya jaata hai? ye is liye keh deene islam to insaanu ko aapas main dosti sikhaata hai ahamahangi sikhaata hai. aur jang sirf un anaasir se ho gi jo is ahamahangi main kharaabi peda karne ki koshish karen ya is maamle main rukaawaten daalen, yani insaanu main dosti aur ahamahangi peda hi na hone den.
quraan main logoon ko baar baar kahaa gayaa hai aman qaaim karo aapas ki naraazagiyan door ker ke yani sulah ker ke. ye hai aamanoo aur amilussaalihaat ka matlab.
jis tijaarat ki baat ho rahee hai kia aap ko maloom hai ye tijaarat nafe aur nuqsaan ki bunyaad per ki jaati hai. lihaaza jo koi aisi tijaarat ka hissa bane ga us ko ya to faaida pohnche ga ya nuqsaan. yani kuchh log jeeten ge kuchh haaren ge. ye jeetane waale kon hun ge aur haarne waale kon?
kia aap ne kabhi socha hai is tijaarat se kis kis ko kia kia faaide hun ge aur kis kis ko kia kia nuqsanaat? aap apni zindagi aise nizaam ke teht kyun guzaarna chahte hen jab keh aap khud ko musalamaan bhi kehlaate hen?
is tijaarati nizaam main aise logoon aur aisi qowmoon ka kuchh khaas faaida nahin ho sakta jo pehle hi se kamzor hen. kia kabhi koi kamzor bhi kisi taaqatwar ke saath muqaabla ker sakta hai aisi baat main jis main woh kamzor ho? agar aap taiz dor hi nahi sakte aur aap muqaabla karne uth khare hun us ke saath jo bahot hi ziyaada taiz dor sakta ho to aap ke jeetane ke imkanaat taqreeban nahin hen. is liye apni bunyaad yani deene islam ki taraf lowto jo kamzor logoon aur qowmoon ko taaqatwar banaata hai ilmo amal ke zariye. issi liye khud ko musalmaan kehlwaane waale ko asal deene islam ki saheeh taleem ki zaroorat hai mullaan ke islam ki nahin jis ne in ko is haalat main pohchaaya hai.
lihaaza aap logoon se muqaabla un ki game un ke rule ke mutaabiq kyun karna chahte hen jabkeh aap ko maloom hai aap ne aisi soorat main jeetana hi nahin hai balkeh haarna hi hai. agar kuchh karna hai to ummat ko jagaao kam se kam apne mulk ki had tak deene islam ki saheeh taleem de ker aur khud apne paaon per khade hone ki socho. us tareeqe se jeena seekho jo quraan sikhaata hai. jis main her aik ka faaida hai kisi ka bhi kuchh nuqsaan nahin hai warna zillato ruswayee ka hamesha shikaar raho ge yahee quraan main khudaa ka faisla hai jis ko koi bhi kabhi bhi badal hi nahin sakta. For a detailed explanation of things about the quran and deen of islam see HERE and HERE
jis tareeqe se aap kabhi bhi iqtadaar main aa hi nahin sakte us tareeqe ko aap kyun apnaaye baithe ho? lihaaza agar khudaa aur insaaniyat ke liye iqtadaar main aana hai to pehle quraan ko theeke tarah se samjho aur samjhao aik doosre ko. taa keh logoon ko maloom to ho quraan ka asal paighaam kia hai un ke liye. jab logoon ko maloom ho jaaye ga quraan insaan ko khudaa dost aur insaan dost banaata hai to log khud hi is ka nizaam le aayen ge khud apne faaide ke liye, taa keh aik doosre ke haathun nuqsaan uthaane se bach saken.
jis tarah hamaara tijaarti nizaam kufar ka nizaam hai ussi tarah hamaara hukamraani ka nizaam bhi kufriya nizaam hai. yahee haal hamaare khudaa aur rasool ke naam per apnaaye huwe mazhab ki hai jo mullaiyat ne phelaaya huwa hai mojooda tijaarti aur hukamraani nizaam ko qaaim rakhne ke liye.
kia log itni aqal bhi nahin rakhte keh in seedhi seedhi saaf saaf baatun ko samajh saken?