آزمائش اور عذاب

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
azeezam abu abdul samad sb, ye baaten bunyaadi tor per hi ghalat hen keh khudaa kisi ko azaab deta hai ya aazmaata hai. ye khudaa ka maqsade takhleeqe kaainaat ho hi nahin sakta. is liye keh sochen isse khudaa ki zaat per kis qadar harf aata hai.

kia khudaa ki zaat aisi ghatiya, bekaar aur nakaara ho sakti hai ke us ko insaanu se apni taareefen zor zabardast se ya draa dhamkaa ker karwaane per majboor hona pade? kia khudaa aisi shakhsiyat ho sakti hai jis main bazaate khud insaanu se taareefen kerwaane ke liye sab ki sab achhi sifaato khasoosiyaat na hun?

quraan main likha hai keh khudaa ke sab ke sab naam khoobsoorat hen, haseen hen. to phir jo log khudaa ki taraf buri sifaat ko mansoob kerte hen un ki khudaa ke baare main ghalat baaten kaise drust ho sakti hen?

quraan kehta hai khudaa ne ham ko apni taareefen kerne ke liye peda kiya hai khudaa ke kaam dekh ker. agar khudaa ke kaam bure hen to us ki taareefen kaise ho sakti hen? lihaaza ham ko khudaa ki baatun ko theek tarah se samajhna ho ga taa keh ham per ye baat waaze ho jaaye keh khudaa ki zaat fil haqeeqat qaable taareef hai.

issi liye ham ko khudaa ke poore program aur nizaam per nazar daalni ho gi aur dekhna ho ga ham ko khudaa ne kyun peda kiya hai aur ye jo kuchh is duniya main ho rahaa hamaare saamne ye kyun ho rahaa hai. khasoosan jin baatun ko ham bura kehte hen, ya khudaa ka azaab ya aazmaaish kehte hen. khudaa ne ham ko kisi maqsad ke liye peda kiya hai. ab us maqsad ko poora kerne ke liye ham insaanu ko khudaa ki taraf se diya gayaa kaam kerna ho ga tab hi woh maqsad poora ho ga warna nahin. issi kaam ki wajah se insaanu ko mushkilaat ka saamna hai jis ko log khudaa ka azaab keh rahe hen. halaan keh is kaam ke poora hone ke baad is kaam per bahot se inamaat milen ge insaanu ko.

is kaam main kuchh mushkilaat khudaa ki taraf se hen yani ham insaanu ko aik bache ki sooraat main anjaan peda kiya hai khudaa ne. ab log ilm seekhne main achhi khaasi mehnat kerte hen magar hai to ye mushkil baat. ham insaan apni apni rozi roti ke liye mehnat kerte hen aur ye aik mushkil kaam hai aur issi tarah ki kuchh aur mushkilaat bhi hen. kia khudaa ka ye right nahin tha keh woh jis shai ko peda kare usse koi munaasin kaam karaaye? khudaa neutni hi kaam her insaan ke zimme lagaya hai jitni keh us ne us ko taaqat di hai. kissi per bhi us ne digayee taaqat se ziyaada bojh nahin daala hai.

phir ye keh jo mushkil kaam khudaa ki taraf se hen unhi ka khudaa insaanu ko inaam bhi de ga. magar deegar sab mushkilaat khud inaanu hi ki apni peda ki hui hen aik doosre per zulmo ziyaadati ki wajah se. ab quraan main khudaa insaanu ko baar baar aik doosre per zulmo ziyaadati se mana kerta hai. is liye aisi baatun ki zimmadaari khudaa per nahin aati keh ye sab haraami kaam insaanu ke apne hen aik doosre ke khilaaf jo khudaa ne haraam kiye huwe hen.

lihaaza drust baat ye hai keh khudaa ne ham insaanu ko mushkilaat main daala hai azaab main nahin aur un mushkilaatr ka taaluq hamaare diye ge kaamun se hai khudaa ke azaab se nahin. ye do alag alag baaten hen. azaab koi kisi ko ghusse main aa ker deta hai ussi ke ghalat kaamun ko dekh ker. khudaa ko bhi ghussa aat hai magar is baat per keh jo raasta logoon ko khudaa ne bataaya hai us ko chhor ker woh apni apni kerte hen aur yun aik doosre ke liye ye log azaab ban jaate ya us ka sabab ban jaate hen aik doosre ke liye. agar sab log khudaa ke bataaye huwe raaste ke mutaabiq zindagi guzaaren to ye azaab khatam ho sakte hen jo log aik doosre per dhaate hen. albatta jin mushkilaat main khud khudaa ne insaanu ko daala huwa hai woh badastoor jaari rahen gi. yani her insaan ko apni rozi roti ke liye mehnat kerni hi ho gi chahe woh, woh mehnat apni khushi se kare ya dukhi dil se, warna us ko woh nahin mile ga jo insaan ko zaroorat hai.

issi mehnat ko agar woh khusi se kare ga keh aik din us ko is ka sila mile ga to aik to us ko woh mile ga jis ke liye woh kaam ker rahaa hai aur doosra aakhirat main ussi mehnat ka us ko inaam bhi mile ga jo woh is duniya main kare ga khudaa ke bataaye ke mutaabiq khushi se. yahee wajah in mushkilaat ki wajah se khudaa ko bure naamun se yaad kerna drust nahin hai. doosre lafzun main ham apni mehnat mazdoori ko jo ham khudaa ke liye keete hen us ko khuda ka azaab nahin keh sakte. ye sirf aur sirf hamaari mehnat aur mazdoori hi kehlaaye gi.

khudaa ko is baat per kosna keh us ne ham insaanu ko peda hi kyun kiya hai keh ham is duniya main aa ker azaab main main mubtila ho ge hen waghera waghera sab ghalat baaten hen is liye keh us ne ham ko in sab takleefun ka aik din poora poora inaam dena hai. lihaaza hamaara kaam hai ham poori baat ko samjhen aur phir dekhen hamaara khudaa ke baar emain kia kehna saheeh hai aur kia ghalat.

khudaa ne quraan main insaanu ko jahaan kaheen bhi draaya damkaaya hai to woh sirf aur sirf is baat se keh agar mere bataaye raaste per nahin chalo ge to deegar sab ke sab raaste tumhen apni tabahi aur barbaadi ki taraf le jaayen ge aik doosre ke haathun tumaari apni apni chhoti chhoti zaati mufadaat parastyun ki wajah se. haan agar mere bataaye raaste per chalo ge to tum log apni poori poori mehnat se is duniya ko aik doosre ke liye jannat banaa lo ge aur aage bhi issi baat ka tum ko inaam mile ga. lihaaza tum bhi khush aur main bhi khush. khudaa ko maloom tha us ke peda kiye ge bahot se log haraami hun ge jo us ki is duniya ko jahanam banaayen ge aik doosre ke liye apne aik doosre ke khilaaf haraami kaamun se magar us ko ye bhi maloom tha un se kayee ziyaada log us ki is duniya ko jannat bhi banaayen ge aik doosre ke liye apne halaali kaamun se. woh waqt shaayad ab bahot door na ho jab duniya bhar ke insaan aqlo fiker se kaam lena shuroo ker den ge aur khudaa ki kitaab ko woh theek tarah se samahna shuroo ker den ge aur phir us per theek tarah se amal bhi kerna shuroo ker den ge.

mullaan ko agar aqal hoti to kia woh khudaa ke baare aisi behuda baaten duniya main phelaate jin se khudaa ki zaat per harf aata ho ya aaye? lihaaza aap bhi in baatun per ghoro fiker karen aur mullaan ki baatun per aakhen band ker ke aameen kerne waale na banen.

khudaa kare ham log aqal seekh ker mullaan ke phelaaye huwe ghalat aqeedun aur un per mabni nuqsaan deh kaamun se niklen aur khudaa ki baatun ki khud main drust samajh peda karen aur us per saheeh tarah se amal karen.

regards and all the best.