Pichlay kuch arsay se pakistan men aik naee waba phail gaee hay aur wo hay sitaron ki chaal se anay walay dino ki pridiction krna.. khas tore pe media men ab baqaida iss pr program honay lag gaye hain.. kabhi koi khatoon sitaron ki chaal bata kr ulti seedhi tojeeh paish kr k anay walay dino k event bata rahi hoti hain aur kahin koi sahab sitaron aur zaichon ki madad se pathar aur aur lucky number bata rahay hotay hain...
Akhir yeh sab ham kis taraf nikal rahay hain.. Islamic shariah men iss ki kia haqeeqat hay... Quran aur Hadees k mutabik ghaib ka ilm sirf Allah k paas hay.. aur ghaib ki 5 haqeeqatain Allah ne kisi ko nahi bataeen..
Surah-e-Luqman men hay...
Bayshak Allah hi k paas Qayamat ka Ilm hay..Aur wohi Barish utarta hay..aur jo kuch maan k pait men hay wo janta hay.. aur koi shakhs nahi janta k wo kal kia kamaye ga..aur na koi shakhs yeh janta hay k kis zameen pe maray ga.. Bayshak Allah jananay wala Khabar rakhnay Wala hay..(Surah Luqman ayat number 34)
add your comments on this topic please..








said: 


