Bhai yeh jo sab baat kar rahay hain na kay Army kuch nahi kar sakti.. tu apkay liye jawab yeh hai k agar yeh army kuch kar na sakti hoti na tau saath walay parosi mulk india ki neendain haram na hotin.. or border pe itni forces na rakhtay.. kabhi border ja kar dekha hai? india ne yeh hazaaro foji kharay kiye hain yeh wo itni chokiyaan banai hui hain.. jabkay Pakistan ki ikka dukka hoti hain.. ab andaaza lagao lo.. or jahaan tak baat hai America se deal karnay ki.. yaar.. imaan walon k liye itna kaafi hai k Allah k har kaam main hikmat hoti hai yeh insan or hukmraan kya cheez hain?? Iss army main barray jazbay or dil walay no jawan Allah ne diye hain jo jaan se zyada hifazat kartay hain awain hi nahi udhar jaa kar in dehshat gardon se larr rahay. Sabar karain.. aanay walay waqton main Allah ki hikmat nazar aa jaegi.. Have faith in Allah.. Or wo jaahil log jo bura bhala kehtay hain apni Army ko unko jawab yeh hai k woh jo Army k jawan hain wo kisi dusray mulk se nahi aaey foj main wo aap k meray muhallay ya gali se gaey hain meray gaaon se gaey hain meray shehar se gaey hain. or unmay ye jurrat hai jaanay ki apnay mulk k liye larnay ki saari umar ghar se bahir rehnay ki jo k hum main nahi hai.. to bakwas band rakahin. or baakiyon ko Allah par yakeen rakhnay dain.
Allah sab ko sabar or hidayat de Ameen.











