bhai kabhi india kay kisi ancor person nay kashmiri leader ko bola kay ess trhan baat kee hy kabhi uho nay apnay hee mulk kay khelaf baat kee hy kabhi amrica main kisi nay amrica kay khilaf baat kee hy kabhi israel nay falstin key khilaf baat kee hy, tu yea surf hamara hee media azad hy jo apnay mulk kay khilf hee baat kary do char badmash sardaroo say jo sab ko pata hy kay agent hain bewaqofi main apni azadi aur sachai sabet karnay kay leay mulk ko nuqsan pohnca rahy hain, bhai kabhi india nay bhee ess trhan kia hy un kay yahn tu aqwam-e- mutheda say qarardad pesh ho gai thee manzor bhee ho gai thee wo tu naheen phudak rahy thay ,app media hee in ko hero bana raha hy koi iss trhan tu apnay hee mulk kay khelaf baat naheen karta agr foj kay chand generals nay kuch kia hy tu app apni foj ko tu badnam naheen karsakty iss trhan tu iss say zeada bari tehreek sindh main mojood hy (sindho desh ) kal ko wo bhee bolain gay ,kia foj iss mulk kee naheen hy uss ko iss mulk ka mufad aziz naheen hy wo hamari hee foj hy hamary leay hee yea sab kar rahee abb agr beach main aur bohat see qowatin hain jo masoom logoon ko agwa kar kay foj ko badnam kar rahee hain bhai shram keoon ati hay app ko agr app apnay he mulk kee foj kee hemayt karin support karin keoon foj ko kamzoor kar kay app kon see mulk kee khidmat kar rahy hain dunia main kaheen essa naheen hota lakin app ka tu koi rule hee naheen bas muh uthaya aur jahn marzi gawachi gaan kee trhan har show per teen agent betha kay shro ho jaty hain yea poch lain unhoo nay apni qoom kay sath kia.. Kia aur balochistan main kia surf baloch rehty hain bas karin app log jo marzi karin lakin apnay mulk kee apni ezat ka khyaal rakhin batin meri kuch media kay baheoon ko buri lagti hain tu achi baat hy apni eslah karnay main koi harj naheen kamskam national issue opar jeess trhan baqi aqwam ek hain media ek hay azadi ka naam yea naheen kay nangay hee ho jain ghar main baat karnay kee azadi ka matlab ye naheen hota kay ghar main hee galin dena shro kar dain kuch tu khuda ka khoof karin hoga media ek taqat dr dartyy hoon gay waqeel darty hoon gay foj darti hogi hakomat darti ho gee lakin bahi mulk ko tu na toro uss ko tu nuqsan na pohncao app logoon nay tu had hee kar dee hy











